Page 3 of 6
Posted: Wed May 18, 2005 12:45 pm
by najma
koee ummeed bar naheeN aatii
koee soorat nazar naheeN aatii
maut ka ek din mu,ayyan hay
neend kyuuN raat bahar naheeN aatii
Posted: Thu May 19, 2005 3:25 am
by Hashmat Usmani
ye jo diivaane se do chaar nazar aate haiN
in meN kuchh saaHib-e-asraar nazar aate haiN
SaaGhar Siddiqui
Posted: Thu May 19, 2005 12:55 pm
by najma
muqabil hay mujh insaan ke ye ehd-e-nau ka aainah
is aaine meiN lekin qadd nazar aataa hay kam mera
khawar
Posted: Thu May 19, 2005 1:58 pm
by syed bilal armaan
yaan wabastagii,waan barhamii kia janiye kiun hai
na ham apni nazar samjhey na ham un ki Ada samjhey
Posted: Thu May 19, 2005 4:58 pm
by najma
bujhane aaey thay kuch logmere ghar ke chiraagH
bujha sake na magar wo mirii nazar ke chiraaGh
khawar
Posted: Thu May 19, 2005 5:21 pm
by Hashmat Usmani
kahaaN the raat ko ham se zaraa nigaah mile
talaash meN ho k jhuThaa koii gavaah mile
DaaGh Dehlavii
Posted: Thu May 19, 2005 5:35 pm
by najma
sabhii ka mad,d-e-nazar ehtiraam hay khawar!
chalan me is liye ham e,tidaal rakhte haiN
khawar
Posted: Thu May 19, 2005 6:21 pm
by Hashmat Usmani
yahaaN rah jaayeNge gul_daanoN meN yaadoN kii nazar
maiN to Khush_buu huuN fizaaoN meN bikahr jaauuNgaa
Mo'iin "Nazar"
Posted: Thu May 19, 2005 9:28 pm
by najma
faslaa nazrou'n ka dhoka bhi tou ho sakta hai
woh milye na milye hath badha kar dekho
Posted: Thu May 19, 2005 10:42 pm
by najma
faslaa nazrou'n ka dhoka bhi tou ho sakta hai
woh milye na milye hath badha kar dekho
Posted: Thu May 19, 2005 11:12 pm
by Hashmat Usmani
teraa Ghuruur samaayaa hai is qadar dil meN
nigaah bhii na milaauuN to baad_shaah mile
DaaGh dehlavii
Posted: Thu May 19, 2005 11:15 pm
by najma
hamare dil pe agar-cheh tirii nigaah naheeN
tire siwaa hameN lekin kisi ki chaah naheeN
najma
Posted: Thu May 19, 2005 11:18 pm
by Hashmat Usmani
aafat kii shoKhiyaaN haiN tumhaarii nigaah meN
mai'Hshar ke fitne khelte haiN jalwa_gaah meN
DaaGH Dehlavii
Posted: Thu May 19, 2005 11:20 pm
by najma
tum ne nazar uThaa ke bhi dekha naheN mujhe
meri nigaah-e-shauq to tum par lagii rahii
najma
Posted: Thu May 19, 2005 11:25 pm
by Hashmat Usmani
har ek jalva-e-rangiiN merii nigaah meN hai
Gham-e-firaaq kii duniyaa dil-e-tabaah meN hai
AKhtar Shiiraanii