Page 3 of 6

Posted: Fri May 20, 2005 12:57 am
by Hashmat Usmani
phuuloN kii TahniyoN pe nasheman banaaiye
bijlii gire to jashn-e-charaaGhaaN manaaiye


Abdul Hameed "Adam"

Posted: Fri May 20, 2005 2:04 am
by najma
phir saavan rut kii pavan chalii tum yaad aaye
phir pattoN kii paazeb bajii tum yaad aaye

Posted: Fri May 20, 2005 2:06 am
by Hashmat Usmani
phir shab-e-Gham ne mujhe shakl dikhaaii kiuNkar
yeh balaa ghar se nikaalii huii aaii kiuNkar


DaaGh Dehlavii

"pe"

Posted: Fri May 20, 2005 2:20 am
by Abdullah Nazir



parvaaz-e-shauq baRhgaiee ummeed-e-vasl meiN

Apni bulandiyaoN se nah zaalim giraa mujhe.



Nazir.


Posted: Fri May 20, 2005 2:22 am
by Hashmat Usmani
phir daaman-e-ummiid vo phuuloN se bhar gayaa
jaaduu bharii nigaah se jaaduu-saa kar gayaa


Mushtaaq AHmad "Khayaal"

Posted: Fri May 20, 2005 2:23 am
by najma
phir wohii jalwa sar-e-tuur dikhado inko
aag se khel rahay haiN, to jala do inko
najma

Posted: Fri May 20, 2005 2:25 am
by Hashmat Usmani
phir se mausam bahaaroN kaa aane ko hai
phir se rangiiN zamaanaa badal jaayegaa
ab ke bazm-e-charaaGhaaN sajaa leNge ham
yeh bhii aramaaN dil kaa nikal jaayegaa


Zaahid

Posted: Fri May 20, 2005 2:26 am
by najma
paaeeN kahn se tum ne musalsal masarrateN
hamko bhi kuch batao, tabii,at udaas hay
najma

Posted: Fri May 20, 2005 4:23 am
by Hashmat Usmani
parishaaN raat saarii hai, sitaaro, tum to so jaao!
sukuut-e-marg taarii hai, sitaaro, tum to so jaao!


Qateel Shifaaii

Posted: Fri May 20, 2005 12:46 pm
by najma
phool sa mukhRa kahaaN se laaooN maiN
dhuul se raahoN ka chehra att gaya

Posted: Sat May 21, 2005 1:08 am
by Hashmat Usmani
pattaa_pattaa, buuTaa_buuTaa Haal hamaaraa jaane hai
jaane na jaane gul hii na jaane, baaGh to saaraa jaane hai


Meer Taqii "Meer"

Posted: Sat May 21, 2005 1:19 am
by najma
paareena daastaaN huee yuunaan-o-ruum kii
zehn-e-jadeed k haiN ufuq bhi naey naey
khawar

Posted: Sat May 21, 2005 2:09 am
by Hashmat Usmani
paaoN ke zaKhm haiN farsh-e-gul-e-tar hone tak
raah dushvaar hai aaGhaaz-e-safar hone tak


Himaayat Ali "Shaayar"

Posted: Sat May 21, 2005 2:16 am
by najma
paida huee hay mujh meiN logoN ki barhamii se
ye mo,tadil-mizajii, ye ehtiyaat-e-paiham
khawar

Posted: Sat May 21, 2005 3:15 am
by Hashmat Usmani
parchhaaiyoN ke shahr kii tanhaaiyaaN na puuchh
apnaa shariik-e-Gham koii apne sivaa na thaa


Mumtaz Rashid