Page 3 of 9

Posted: Fri May 27, 2005 12:27 pm
by najma
tere ghar ponchne ki mitt gaee haiN sab raaheN
wo hujoom umDaa hay shehr bhar meiN saRkoN par
khawar

Posted: Sat May 28, 2005 3:09 am
by Hashmat Usmani
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gilaa hai, ziyaada nasiib se


AaGhaa Hashr

Posted: Sat May 28, 2005 4:16 am
by Hashmat Usmani
tai hoNge kis taraH yeh maraaHil, kahaa na jaaye
is tiirgii meN kia hai muqaabil, kahaa na jaaye!


Shahzaad AHmad

Posted: Sat May 28, 2005 9:19 am
by najma
teri mehfil bhi gaee, chahne waale bhii gaey
shab ki aahieN bhii gaeiN, sub,h ke naale bhii gaey

Posted: Sat May 28, 2005 2:19 pm
by zmufti
tere hangamoN se aye deewana-i-rangeeN nawa
zeenat-gulshan bhee hai aaraish-e-sehra bhee hai

Posted: Sat May 28, 2005 8:53 pm
by najma
ta,assubaat ka khush-raNg ik labaadah laga
maiN kya kahooN ,keh mujhe to mizaaj-e-ehl-e-nazar
khawar

Posted: Sun May 29, 2005 12:50 am
by Hashmat Usmani
TuuTe huye diloN kii du'aa mere saath hai
duniyaa terii taraf hai, Khudaa mere saath hai


Nizam Rampuri

Posted: Sun May 29, 2005 5:10 pm
by najma
tanhaa tanhaa ham ro leingay mahfil mahfil gaaeingay

jab tak aaNsuu paas raheNgay, tab tak geet sunaaeingay

Posted: Mon May 30, 2005 9:32 pm
by najma
tasweer banata hoo, tasweer naheeN bantii
ik khaab sa dekhaa hay, taabeer nahii bantii

Posted: Mon May 30, 2005 9:59 pm
by najma
ta,alluqaat ki ta,meer kar ke deewaareN
maiN kitna aape se baahar tha, kaisa manzar thaa
khawar

Posted: Mon May 30, 2005 10:20 pm
by najma
thee fikr shehr-e-yaar ko bas apni dhoom ki
wo din gaey, keh jab na thii parwa hujoom kii
khawar

Posted: Wed Jun 01, 2005 12:21 pm
by najma
tehreer se log uskii,dhoke meiN rahay, aiy kaashwo
wo lafz samajh lete, lik,khe thay jo qosoN meiN
khawar

Posted: Wed Jun 01, 2005 7:50 pm
by zmufti
teri kaj adai se haar ke shab-e-intizaar chali gayii
meray zabt-e-haal se rooth kar meray gham gusar chaley gaye

Posted: Wed Jun 01, 2005 9:15 pm
by najma
tirii mehfil meiN ban aaee hay shayad aaj apnoN ki
udaasii ke haiN gehre saaey ab GhairoN ke chehroN par
khawar

Posted: Wed Jun 01, 2005 11:50 pm
by Hashmat Usmani
tere baGhair yeh ab zindagii kahaaN guzre
qadam qadam pe tere saath kaa gumaaN guzre


Hafeez Aatish