Page 3 of 17
Posted: Sun Jun 12, 2005 8:49 am
by najma
bohat khoob shahnaz sahiba
mohabbat ki jhootii adaoN pe sahib!
jawani luTaane ki koshish na karna
Posted: Mon Jun 13, 2005 3:19 am
by shahnaz zafar
mat sikha lehjey ko apnii barchiyon ke peyntrey
zinda rehna hai to lehje ko zara masoom ker
Posted: Mon Jun 13, 2005 9:10 am
by najma
nazar badalne se ehsaas bhi badalta hay
shu,oor-o-fikr se jeene ka hausla rakhna
najma
Posted: Tue Jun 14, 2005 3:47 am
by shahnaz zafar
tumhaarii tahaziib apane Khanjar se aap hii Khud-khushii karegii
jo shaaKh-e-naazuk pe aashiyaanaa banegaa naa-paidaar hogaa
Posted: Tue Jun 14, 2005 12:04 pm
by najma
dostii ko mazaaq mat samjho
dostii,e,tibaar maaNgtii hay
bakhsh
Posted: Wed Jun 15, 2005 11:27 am
by najma
aalam-e-intishaar meiN aiy dost!
nabz-e-hastii qaraar maangtii hay
bakhsh
Posted: Fri Jun 17, 2005 12:06 pm
by najma
jin se zindah ho yaqeen-o-aagahii ki aabroo
ishq ki raahoN meiN kuch esay gumaaN karte chalo
saGhar
Posted: Sun Jun 19, 2005 11:59 am
by najma
tajdeed ke shu,oor se, aiy rah-baran-e-asr!
sheerazah-e-hayaat pareshaaN na kijiye
nafis ahmad siddiqui
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:40 pm
by najma
rah-rau-e-jaadah-e-Gham!Gham na tumheN Das jaaeiN
raah kat jaeiy gii, ham-raaz bana lo mujh ko
najma
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:27 pm
by najma
ye mat samajh, keh wo maahir haiN saazishoN ke faqat
munafiqat meiN bhi unka koee jawaab naheeN
bakhsh
Posted: Fri Jul 01, 2005 3:47 am
by Hashmat Usmani
tamannaa dard-e-dil kii ho to kar Khidmat faqiiroN kii
nahiiN miltaa ye gauhar baadshaahoN ke KhaziinoN meN
'allaamah Iqbaal
Allamah Iqbaal
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:29 pm
by Abdullah Nazir
"Iqbaal bhii iqbaal se aagaah nahiN hei
Kuch is meiN tamaskhur nahiN wallah nahiN hei"
Nazir.
Posted: Tue Jul 05, 2005 2:18 am
by Hashmat Usmani
tuu shahiiN hai, parwaaz hai kaam teraa
tere saamne aasmaaN aur bhii haiN
'allaamah Iqbaal
Posted: Sun Jul 10, 2005 6:11 pm
by PK Swami
ghair apne hoNge, shereeN ho agar apnee zabaaN
dost ho jate haiN dushman, talkh ho jiskee zabaaN
yak bayak tark.e mulaaqat meiN ruswaaie hai
uljhe daaman ko chhuRate naheeN jhaTkaa dekar !
PK Swami
Posted: Tue Jul 12, 2005 4:46 am
by Hashmat Usmani
zindagii kii reh meN chal, lekin zaraa bach_bach ke chal
yeh samajh le koii meenaa Khaana_baar-e-dosh hai
'allaamah Iqbaal