Page 3 of 8
ishq
Posted: Thu Jun 09, 2005 12:59 am
by Abdullah Nazir
junoon-e-ishq ne barbaad kardiyaa mujhko
wo bewafaa hei, mirii baat maantaa hii nahiN.
Nazir.
Posted: Thu Jun 09, 2005 1:44 am
by najma
manzil-e-iashq meiN Khirad waale
sirf do-chaar log aate haiN
saghar
Posted: Thu Jun 09, 2005 7:30 am
by syed bilal armaan
Lutf wo Ishq maiN paaey haiN ke jee jaanta hai
ranj bhi aisay utthaey haiN ke jee jaanta hai
Posted: Thu Jun 09, 2005 7:36 am
by syed bilal armaan
Kab ishq kia, kis se kiya sab jhoot hai yarro
ab bhool bhi jao jo kabhi hum se suna ho....
-S.M.BILAL
Posted: Thu Jun 09, 2005 10:21 am
by najma
rah-zan aql, hosh deewaanah
ishq meiN koee rah-numaa na hua
saGhar
Posted: Thu Jun 09, 2005 2:45 pm
by Taskeen
Yeh Ishq naheen aasaan itna samajh lijiye
ek aag ka darya hai aur doob ke jaana hai
Posted: Thu Jun 09, 2005 6:39 pm
by najma
jin se zinda ho ho yaqeen-o-aagahii ki aabruu
ishq ki raahoN meiNkuch ese gumaaN karte chalo
saghar
Posted: Fri Jun 10, 2005 8:04 am
by syed bilal armaan
ye husn teraa ye ishq meraa rangin to hai badnaam sahi
mujh par to kayee ilzaam lage tujh par bhi koi ilzaam sahi
Posted: Fri Jun 10, 2005 1:36 pm
by najma
suno, aiy ishq meiN tauqeer-e-hastii DhoonDnay walo!
ye wo manzil hay, jis manzil pe insaaN laR-khaRaate haiN
saGhar
Posted: Sat Jun 11, 2005 1:44 am
by najma
tere jooRe ke phool murjhaey
ishq ki bandagii ke kaam aaey
saghar
ishq
Posted: Sat Jun 11, 2005 7:39 am
by Abdullah Nazir
Jur'at-e-ishq ne phir dii hei tasalli mukhko
phir dikhaayi diye aacaar nayi manzil ke.
Nazir.
Posted: Sat Jun 11, 2005 11:39 am
by syed bilal armaan
ham kabhi ishq ko veHshat nahiN ban'ne dete
dil ki tehzeeb ko tohmat nahiN ban'ne dete
Posted: Sat Jun 11, 2005 11:51 am
by najma
merii nigaah-e-shauq se har gul hay devtaa
maiN ishq ka khuda hooN, mujhe yaad kijiye
saghar
Posted: Sat Jun 11, 2005 7:33 pm
by najma
bohat khoob sra
ishq behroopiya hay aiy saGhar!
roop ne sadagii ko bech diya
saGhar
Posted: Sat Jun 11, 2005 8:29 pm
by najma
ham jaante to ishq na karte kasoo ke saath
ly jaate dil ko khaak meiN is aarzoo ke saath
meer