Page 3 of 44
Posted: Sun Jun 19, 2005 1:35 pm
by Waqar Zaidi
kehtaa nahin hay koii bhi sach baat in dinon
achhay nahin hain shehr kay haalaat in dinon
Shaair : Arif Shafeeq.
Posted: Sun Jun 19, 2005 3:06 pm
by najma
kaif-e-manzil asl meiN dushwaari-e-manzil se hay
kuch dinoN rah-e-talab meiN ThokareN khanay bhi day
nafis ahmad siddiqui
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:21 pm
by najma
zad meiN toofaan ki safeenay haiN
dooor se dekhta kinara hay
nafis ahmad siddiqui
Posted: Mon Jun 20, 2005 5:18 am
by Waqar Zaidi
mat sehl hamain jaano phirtaa hay falak barson
tab khaak kay parday say insaan nikaltay hain
Shaair : Mir Taqi Mir.
Posted: Mon Jun 20, 2005 8:34 am
by najma
hazaroN manzileN hoNgeeN, hazaroN karawaaN hoNgay
bahaareN hamko DhoonDeNgeeN, najanay ham kahaaN hoNgay
Posted: Mon Jun 20, 2005 5:42 pm
by Waqar Zaidi
ye naama nahin maira arthi hay mohabbat ki
ek baar isay parhnaa phir aag lagaa daina
Waqar Zaidi.
Posted: Mon Jun 20, 2005 6:30 pm
by najma
Waqar Zaidi wrote:ye naama nahin maira arthi hay mohabbat ki
ek baar isay parhnaa phir aag lagaa daina
Waqar Zaidi.
WAAH
kyaa sher hay
bohat khoob
hazaroN saal nargis apni be-noorii pe rotee hay
baRee mushkil se hota hay chaman meiN dedah-war paida
Posted: Mon Jun 20, 2005 8:15 pm
by Waqar Zaidi
dear najma baaji!
sher pasand karnay kaa bohat shukriya. jab main university main parh rahaa thaa to un dinon ye sher likhaa thaa aur is par ghazal likhnay ki bohat koshish ki magar na likh payaa. ye mairi khush qismati hay ke us waqt urdu deptt ki har larhki ki dairy main ye sher maujood thaa. aik aur zaati sher sun lijiye:
yeh tairi bay rukhi nay diya hay mujhay payaam
misl e charaagh taa bah sahar har shab jalaa karoon
-------------------------------------------------------------------------------------
Posted: Mon Jun 20, 2005 9:12 pm
by najma
Waqar Zaidi wrote:dear najma baaji!
sher pasand karnay kaa bohat shukriya. jab main university main parh rahaa thaa to un dinon ye sher likhaa thaa aur is par ghazal likhnay ki bohat koshish ki magar na likh payaa. ye mairi khush qismati hay ke us waqt urdu deptt ki har larhki ki dairy main ye sher maujood thaa. aik aur zaati sher sun lijiye:
yeh tairi bay rukhi nay diya hay mujhay payaam
misl e charaagh taa bah sahar har shab jalaa karoon
-------------------------------------------------------------------------------------
aap ye link dekhiye.karamad rahega.ghazal kehne ka asaan tareeqa darj hay.
http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=1385
dekha hay maiN ne dil ki be-taabiyoN ka manzar
ik TooT,tee kalii meiN, ik Doobtee kiran meiN
saGhar
- -- -
Posted: Tue Jun 21, 2005 2:37 am
by Abdullah Nazir
[color-blue[
"aankheN baRi baRi heiN magar dil baRaa nahiN
Is bewafaa ko kaam kisi se paRaa nahiN."
[/color]
Nazir.
Posted: Tue Jun 21, 2005 4:36 am
by Waqar Zaidi
kab say un paakbaaz aankhon mein
parh rahaa hoon namaaz aankhon mein
-------------------------------
mujh say Mahmood kaa maqaam na poochh
phir rahaa hay Ayaaz aankhon mein
-------------------------------
ashk palkon pe raqs karnay lagay
kis nay chhairhaa hay saaz aankhon mein
===============================================
Posted: Tue Jun 21, 2005 4:54 am
by Saba
kab talak kaanton say daaman ko bachaauon apnay
koii patthar nahin insaan hoon aakhir main bhi
Posted: Tue Jun 21, 2005 7:36 pm
by najma
phooloN ko ag lag gaee naGhmaat jal gaey
sooraj ki tez dhoop meiN lamhaat jal gaey
saGhar
Posted: Wed Jun 22, 2005 10:45 am
by best
Aadaab,
Wo aur hoon ge jo teri bazm se uth gaiye
Hum to wo dagh hain jo lag gaiye so lag gaite
i m the best
Posted: Wed Jun 22, 2005 10:51 am
by najma
muflisoN pe hans rahii haiN azmateN insaan ki
or khuda ki rehmateN mansoob zar-daroN ke saath
saGhar