Page 3 of 29
???
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:10 pm
by Abdullah Nazir
kyaa kahuN kahoN maiN tujh se apnaa qissa-e-ranj o miHan
dhoop meiN jhulsaa hooN saari zindagai tere liye
Nazir.
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:14 pm
by najma
aise kab tak jiyogii tum najma!
jheel meiN pheNk pheNk kar kaNkar
najma
Posted: Fri Jul 01, 2005 3:44 am
by Hashmat Usmani
mere niyaaz-e-'ishq kii kia baat hai, "Shamim!"
qadmoN meN Husn ko na jhukaa duuN, to baat kia!
Shamiim Jaipurii
???
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:43 pm
by Abdullah Nazir
kahaaN hei wo ke mira haal-e-zaar sun le kabhi
mizaaj-e-yaar meiN heiN kaj adaayiyaaN saari.
Nazir.
Posted: Tue Jul 05, 2005 2:22 am
by Hashmat Usmani
toR kar dekh liyaa aaiina-e-dil tuu ne
terii suurat ke sivaa aur, bataa! kia niklaa?
Muzaffar Warsi
???
Posted: Thu Jul 07, 2005 3:45 am
by Abdullah Nazir
kaun hei jis se hou ummeed-e-karam dunyaa meiN
jou bhi miltaa hei faqaT mujhko rulaane ke liye.
Nazir.
Posted: Sun Jul 10, 2005 5:23 pm
by PK Swami
kisko hai husn.e khudadaad kaa davaa dekheN
kis kaa cheHraa naheeN minaatkashe ghazaa dekheN !
aisee karwaT bhee koi karwaT hai ?
jiske pehloo meiN inqlaaB na ho!
saHne gulshan na sahee, dasht kaa aaghosh sahee
vaHshate dil ke liye koi to ghar paidaa kar !
rukaa rukaa sa tabassum, jhukee jhukee see nazar
tumHe saliqa.e begaangee kahaaN hai abhee !!
aakhiree jaam meiN kyaa baat thee aisee saaqi
ho gayaa pee ke jo khaamosh ,vo khaamosh raHaa !
ghuroor.e vaqt se kaH do kee hosh meiN aaye
zameen poochhne walee hai aasmaaN kaa mizaaj !
PK Swami
Posted: Tue Jul 12, 2005 4:25 am
by Hashmat Usmani
kaun aayegaa yahaaN? koii na aayaa hogaa
meraa darvaaza havaaoN ne hilaayaa hogaa
Kaif Bhopali
Posted: Tue Jul 12, 2005 4:08 pm
by PK Swami
aaHaT pe kaan, dar pe nazar,dil meiN ishtiyaaq
ye kaisee bekhudee hai tere intzaar meiN
PK Swami
Posted: Wed Jul 13, 2005 2:21 am
by Hashmat Usmani
kaun is raah se guzartaa hai!
dil yuuN hii intazaar kartaa hai
Nasiir Kaazmii
Posted: Wed Jul 13, 2005 5:52 pm
by PK Swami
shamma chup, parwanaa shasDar, ahle mehfil dam ba.khud
hai kyaa tasveer kaa aalam teri mehfil meiN hai !
PK Swami
Posted: Wed Jul 13, 2005 7:35 pm
by Hashmat Usmani
muntazir kab se taHayyur hai terii taqriir kaa
baat ka tujh par gumaaN hone lagaa tasviir kaa
AHmad Faraaz
Posted: Fri Jul 15, 2005 9:42 pm
by RAUSHNEE
dil he tu hai na sang-0-khisht dard say bhar na aye kiyon
royen gay hum hazar bar koii hamein sateye kiyon ?
Posted: Sun Jul 17, 2005 4:22 pm
by PK Swami
kyoN baRhayaa aapne jaam.e tihee merii taraf
aur isse tez merii tishnakamee ho gayee!
PK swami
???
Posted: Mon Jul 18, 2005 4:16 am
by Abdullah Nazir
kis liye kehdooN ke chashm-e-naz ne rusvaa kiyaa
rind bhii maiN aur shaiday-e-lab-e-janaaN bhii maiN.
Nazir.