Page 3 of 4

Posted: Sat Jun 18, 2005 10:19 pm
by najma
ham kitne saada lauh thay, bazar-e-ishq meiN
be-daam apni jins-e-wafaa bechtay rahay
nafis ahmad siddiqui

Posted: Sun Jun 19, 2005 12:10 pm
by najma
haaN, batao to sahii! rooh-e-wafa! jaan-e-:nafees:
kab mujhe hans hans k deewana bananay aaogii?
nafis ahmad siddiqui

Posted: Sun Jun 19, 2005 5:34 pm
by najma
ham ne bunyaad-e-zindagii apnii
sirf terii wafaa pe rak,khi hay

Posted: Sun Jun 19, 2005 5:44 pm
by najma
yahaan badla wafa ka be-wafaee k siwa kyahay
abhi dukh hay abhi sukh hay abhi kya tha abhi kya hay

Posted: Mon Jun 20, 2005 6:27 am
by syed bilal armaan
aya hi tha abhi mere lab pey wafa ka naam
kuch dost'oun ney haath mein pathar uttha liye...

Posted: Mon Jun 20, 2005 6:30 am
by syed bilal armaan
wa,da na WAFA karna,phir uss pe ye taakeedeN
taa-hashr theher jao,q jan nikalti hay

-DAAGH...

Posted: Mon Jun 20, 2005 6:33 am
by syed bilal armaan
bewafaa vaqt na tera hai , na mera hoga
raat bhi aaye gi, sooraj ka bhi phaira hoga

- -- -

Posted: Tue Jun 21, 2005 3:06 am
by Abdullah Nazir



wafaa kii baat nah kar bewafaa muHabbat meiN

bataa ke tuu ne mujhe kyaa diyaa muHabbat meiN.




Nazir.


Posted: Thu Jun 23, 2005 12:18 am
by najma
insaan ko shikwa hay, wafaa aam naheeN hay
insaaan bhi to itna niko-naam naheeN hay
najma

"wafaa"

Posted: Thu Jun 23, 2005 12:15 pm
by Abdullah Nazir



wafaa kaa naam nah le bewafaa khudaa ke liye

maIn teri chashm-e-tagaaful se khoob waaqif hooN.



Nazir.

[/color

Posted: Thu Jun 23, 2005 12:18 pm
by najma
bohat khoob

wo haiN na-aashnaa lafz-e-wafaa se bhi, magar najma!
kitab-e-dil ka apni, unko unwaaN kar liya ham ne
najma

Posted: Fri Jun 24, 2005 7:19 am
by syed bilal armaan
tafseer-e-zindagi tha yaqeenan miraa sukoot
maiN sharH-e-daastaaN ka magar mudda'ee kahaaN
meri wafa ko saare jahaaN ke sitam qubool
tere karam ko aik nazar ka ziyaaN giraaN


-Ahmed Nadeem Qasmi .

Posted: Sat Jun 25, 2005 7:27 am
by syed bilal armaan
ae yaar-e-dilnasheen, wo adaa kaun le gaya
tere nageeN se naqsh-e-wafaa kaun le gaya
:grin: :grin:

Josh

"wafa"

Posted: Fri Jul 01, 2005 2:32 am
by Abdullah Nazir



cheen lo mujh se ravaadaariy-e-iHsaas-e-wafaa

yaa dar-e-yaar pah baa-deeda-e-tar jaane do.



Nazir.


Posted: Fri Jul 01, 2005 3:14 am
by Hashmat Usmani
baar_haa gor dil jhukaa laayaa
ab ke shart-e-wafaa bajaa laayaa


Meer taqii Meer