Page 3 of 4
Posted: Wed Jun 22, 2005 10:53 am
by najma
jab kabhi gaedish-e-taqdeer ne ghera hay hameN
gesuu-e-yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
saGhar
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:23 am
by najma
jaane kyuuN aap ke rukhsaar mehek uThte haiN
jab kabhi kaan meiN chupke se kahaa, eid ka chaand
saGhar
"jeem"
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:05 pm
by Abdullah Nazir
[size-18]
jaa tiri dast daraazi pah kiyaa tujhko muAaaf
warnah yooN chaak girebaaN nahiN houne detaa,
Nazir.
[/size]
Posted: Thu Jun 23, 2005 12:16 pm
by najma
hameN ma,loom tha, jins-e-wafa nayaab hay, lekin
abac sheeraza-e-dil ko pareshaaN kar liya ham ne
najma
ye sher jeem say to nahin
Posted: Sat Jun 25, 2005 8:38 am
by Waqar Zaidi
najma wrote:hameN ma,loom tha, jins-e-wafa nayaab hay, lekin
abac sheeraza-e-dil ko pareshaaN kar liya ham ne
najma
Najma baaji ,
muaaf kijiye ga, ye sher jeem say to nahin hay .
jisay apnaa samajhtay hain nikaltaa hay woh baigaana
bataa aay aarzoo e dost ye kaisaa zamaana hay
--------------------------------
jis nay khaaye hon kabhi maasoom nazron kay faraib
woh in ahl e dehr kay dhokay main aa saktaa nahin
-------------------------------------------------------------------------------------
Posted: Fri Jul 01, 2005 3:34 am
by Hashmat Usmani
ja kahiyo un se nasiim-e-saHar, meraa chai'n gayaa merii niind gaii
tumheN merii na mujhko tumhaarii Khabar, meraa chai'n gayaa merii niind gaii
Bahaadur Shaah "Zafar"
"jeem"
Posted: Fri Jul 01, 2005 12:38 pm
by Abdullah Nazir
Junoon-e-shauq meiN housh o Havaas gum sum thay
magar Azaab thaa aiy doust karb-e-tanaayii.
"ye"
Nazir.
"jeem"
Posted: Sat Jul 02, 2005 12:17 pm
by Abdullah Nazir
jaur-e-paiham se nah touRou dil miraa
chaarahgar ban jaaou ik din ke liye.
Nazir.
"jeem"
Posted: Sat Jul 02, 2005 6:19 pm
by Abdullah Nazir
jaam Muhabbat housh gaNwaaye kisko hei iHsaas yahaaN
MaiN tou kab se tanhaayii meiN naam tumhaaraa letaa hooN.
Nazir.
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:41 am
by Hashmat Usmani
jaan-e-afsaana yehii kuchh bhii ho afsaane kaa naam
zindagii hai dil kii dhaRkan tez ho jaane kaa naam
Anand Narain "Mulla"
"jeem"
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:00 pm
by Abdullah Nazir
jaan o dil se maiN chaahtaa hooN use
jou mujhe bewafaa samajhtaa hei.
Nazir.
Posted: Mon Jul 04, 2005 5:00 am
by Hashmat Usmani
jaan-e-sukuun aa bhii jaa! teraa hii intezaar hai
aaNkhoN se ashk hai ravaaN, jaaN bhii be_qaraar hai
YaHya Jasdanwaalaa
Posted: Tue Jul 05, 2005 2:26 am
by Hashmat Usmani
jaada-e-fan meN baRe saKht maqaam aate haiN
mar ke rah jaataa hai fan_kaar amar hone tak
Dilaawar Figaar
Posted: Mon Jan 02, 2006 7:26 pm
by ummassad
jub bhi aata hai mera naam tere naam ke saath
jane kyun loog mere naam se jel jate hain
Posted: Tue Jan 03, 2006 10:19 pm
by ummassad
jab gulistan ko khoon ki zarurat padi sub se pahle hamari hi gardan kati
phir bhi kahte hain ham se ye ahal-e- chaman ya chaman hai hamara tumhara nahi