Page 3 of 5

"cheem"

Posted: Tue Apr 11, 2006 1:12 am
by Abdullah Nazir



chupaalete heiN apne chaand se chehreh ko yooN mujh se

keh jaise dekh loongaa to nazar lag jaayegi unko.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Apr 16, 2006 11:42 am
by Daanish
chaman ki vaz'A ne hum ko kiya daagh
ke har ghuncha, dil-e-pur aarzoo thha--Meer

"cheem"

Posted: Tue Apr 18, 2006 1:40 am
by Abdullah Nazir



cheRiye dheeme suraoN meiN dousti ki raagni

beHr-e-kam amvaaj meiN ToofaaN uThaakar dekhiye.


Shaayher: Abdullah Nazir.

{/color]
Nazir.


Posted: Wed May 24, 2006 11:41 pm
by ummassad
cahata houn kh bhoul jaoun tumhain
aour khud bhi nh yaad aayoun tumhain

"cheem"

Posted: Sun Jun 04, 2006 7:17 am
by Abdullah Nazir



chaahooN agar bahaar tou HaaSil khazaaN mujhe

taufeeq-e-ikhtiyaar chaman meiN kahaaN mujhe.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Aug 06, 2006 4:34 am
by ummassad
chand kaliyan nishat ki chun ker mudatoun mahooe yaas rahta houn
tera milna khushi ki baat sahee tujh se milkey uddas rehtaa houn

Posted: Thu Aug 17, 2006 8:28 pm
by ummassad
chman main lala dikhata phirta hy daag apna kali kali ko

yeh janta hy kh is dikhawey se dil jaloun main shumar hoga.

Posted: Tue Aug 22, 2006 5:16 am
by Daanish
'che'

chhoRHa na rashk ne, ke tira ghar ka naam luN
har ik se poochhta hun, ke jaaoN kidhar ko maiN?--Ghalib

Posted: Tue Aug 22, 2006 5:21 am
by Daanish
'che'

chalta huN thhoRHi door, har ik tez_rau ke saath
pehchaanta nahiN huN, abhi raahbar ko maiN--Ghalib

Posted: Thu Aug 24, 2006 5:17 pm
by PK Swami
chamanzaar.e muhabbat meiN khamoshee maut hai bulbul
yahaaN kee zindgee paabandi.e rasm.e fughaaN tak hai !

Iqbaal


PK Swami

Posted: Tue Nov 28, 2006 10:32 am
by hassan_bashir
Chamak tujh se paate haiN sab paane vaale
mira dil bhi Chamkaa de Chamkaane vaale



~ Aala Hazrat :rahma: ~

cheem

Posted: Mon Dec 18, 2006 8:19 pm
by Abdullah Nazir



chale the dar peh tire ArZ-e-Haalkarne ko

qadam qadam peh magar theeN hazaar deewaareN.


Shaayer: Abdullaj Nazir



Nazir.


Posted: Mon Dec 18, 2006 8:22 pm
by hassan_bashir
chaman kii bahaaroN meiN thaa aashiyaanaa,
na jaane kahaaN kho gayaa vo zamaanaa!!
:roll:

Posted: Mon Dec 25, 2006 11:22 am
by balvinder
chaman mein yo'n to kahne ko bahut hain aashiyaa'n lekin
giregee jis pe kal bijalee vo meraa aashiyaa'n hogaa

nooh naarvi

Posted: Mon Dec 25, 2006 11:59 am
by hassan_bashir
chaman meiN subHa ye kahatii thii ho kar chashm-e-tar shabanam,
bahaaaaar-e-baaaaaGh to yuuN hii rahii lekin kidhar shabanam?!!