Page 3 of 3

Posted: Tue Dec 04, 2007 4:36 pm
by zmufti
[align=center] یا خدایا حشر میں نہ دینا مجھے
پھر کوئی سزا زندگی جیسی
[/align]

Posted: Mon Jan 14, 2008 10:37 am
by Ujala Arif
zindagi ka koi iHsan nahiN hay mujh par
meN nay dunya maiN har aik saaNs ki qiimat di hay

Posted: Wed Jan 16, 2008 5:02 pm
by Arif Naseem
khoob

zindagi aainaa hai zakhmoN ka
ajnabi to nahiN shabahat i jaaN

Posted: Sat Jan 26, 2008 3:58 pm
by Arif Naseem
zindagii tujh pe buhut raqS kia hay maiN nay
ab ye Hasrat hay kabhi tujh ko nacha kar dekhoN

Posted: Fri Feb 01, 2008 12:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Zindagee meN to sabhee payaar kiya karte haiN
maiN to mar kar bhee miree jaaN tujheY chahooN gaa!

Qateel Shifaee marHoom![/align]

Posted: Sun Feb 03, 2008 6:18 pm
by ummassad
Zindagi main doo hi lamhey mujh pe guzrey hain kathin .
aik tery aaney se pehley aik tery janey ke baad .

Posted: Sun Feb 17, 2008 6:11 am
by jawaid badauni
hamaaree zindagee bhi zindagee kahne ke qaabil thee

magar woh zindagee jo koo.e jaanaaN meN guzaar aaye


"Raunaq Badauni MarHoom"

Posted: Sun Feb 17, 2008 4:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]ujaaleY apnee yaadooN ke hamare saath rehne do
najaane kis galee meN zindagee kee shaam ho jaeY!

Basheer Badar[/align]

Posted: Sun Feb 17, 2008 6:52 pm
by ummassad
zindagi tujh se mulaqaat kahan hoti hey
hum ne lekin tujhey tanhai main akser dekha.

Posted: Tue Feb 26, 2008 2:23 am
by ummassad
zindagi terey liye main ne bahot raqs kiya.
ab yeh hasrat hey kh tujhko bhi nachaker dekhoun.

Posted: Fri May 09, 2008 2:25 am
by ummassad
zindagi main doo hi lamhey mhja pe guzrey hain kathin .
aik terey aaney se pahley aik terey janey ke baad.