Page 3 of 4

Posted: Fri Sep 09, 2005 8:48 am
by syed bilal armaan
dil ko tumhaare NAAM ke aansoo azeez thay
dunya ka koi dard samone nahi dia

Posted: Fri Sep 09, 2005 8:50 am
by syed bilal armaan
kisi ka naam lo ,be naam afsaane bohot se hain
najaane kis ko tum kehte ho, dewaane bohot se hain

Posted: Fri Sep 09, 2005 8:52 am
by syed bilal armaan
berson ba`ad dekhaa ik shaks dilruba saa
ab zehan main nahin hey per naam tha bhalaa saa



Posted: Fri Sep 09, 2005 8:54 am
by syed bilal armaan
socha hoga us ne din maiN kaee baar mujhe
Naam hatheli pe bhi likh ke mitaaya hogaa

Posted: Fri Sep 09, 2005 8:59 am
by syed bilal armaan
Likhay jatay rahay jo auroon ke liye
Mere woh khat bhi Tumharay Naam

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:06 am
by syed bilal armaan
hairaan hoon main aaj bhi ae be misaal shaks
kis kis ko tere NAAM se nisbat nahi rahi

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:10 am
by syed bilal armaan
ab bhi diiwane ko itna hosh hai,
muskura detaa hai un ke naam se!

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:12 am
by syed bilal armaan
zikr se ham tire HaseenoN ka
shokh guftaar-o-khush kalaam hue

teri galiyoN meiN ho ke ham badnaam
kitne shehroN meiN naik naam hue

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:18 am
by syed bilal armaan
naamon ka ik hajoom mere aas paas hai
dil sun k aik NAAM dharakta zaroor hai

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:20 am
by syed bilal armaan
ik shakhs ki zid hai mujhe kirdaar bana kar
afsaana likho or mera NAAM na aaye

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:23 am
by syed bilal armaan
ab teray zikr pay hum baat badal detay hain
kitni ragbat thi teray naam say pehlay pehlay !!

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:26 am
by syed bilal armaan
Mehfil maiN log choNk pade mere NAAM par
Tum muskura diye meri qeemat yahi to hai

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:30 am
by syed bilal armaan
tabassum naam hai bas un labon ki aik jumbish ka
muhabbat zindagi bhar ki pareshaani ko kehte hain

Posted: Fri Sep 09, 2005 9:37 am
by syed bilal armaan
ASSALAM WALEKUM!
ummid karta hoon k app sab log khairiyat se honge.Dostoun app ney unwan"NAAM" par bahut acche ashar likhe.lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai. Ab pesh hai ek nay unwan "TANHAII" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye.naya unwan naye fourm may mulaheza kijye.


S.M.BILAL ARMAAN

ASAK

Posted: Sun Dec 18, 2005 5:07 pm
by ummassad
GAM-E- AASHIKI SE KAHDO RAHE AAM TAK NA PAHUNCHE
MUJHE KHOUF HAI YH TOHMAT MERE NAAM TAK NA PAHUNCHE