Page 3 of 3
Posted: Fri Feb 10, 2006 2:23 pm
by Daanish
dil-e-ehbaab meiN ghar hai, shagufta rahti hai khaatir
yahi jannath hai meri aur yahi baagh-e-iram mera--Pandit Brij NaraiN 'Chakbast'
Posted: Mon Feb 13, 2006 8:47 pm
by ummassad
duayen do mahobet humne mit ker tumko sikhladi
na jalti shamma mahfil main tu parwane kahan jate
Posted: Wed Feb 15, 2006 1:42 am
by Daanish
dil taa jigar ke saahil-e-dariya-e-khooN hai ab
is rehguzar meiN jalwa-e-gul aage gard thha--Ghalib
Posted: Sat Feb 18, 2006 6:55 am
by ummassad
dard minat kashe dawa na hua
main na accha hua bura na hua
"daal"
Posted: Thu Feb 23, 2006 2:45 am
by Abdullah Nazir
deeda-e-shauq ko rakhte heiN jahaaN se ghaafil
her TaraH se heiN bari, Husn ke ilzaam se ham.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir,
Posted: Fri Mar 03, 2006 4:04 pm
by ummassad
dil ki tanhaai ko aawaz bana leete hain
dard jeb had se guzerta hy tuu gaa lete hain
daal
Posted: Sat Mar 04, 2006 3:48 am
by Abdullah Nazir
dil meiN shikwah hei tou aankhaoN meiN jali khaamoushi
tere dar per hei yeh meri adabi khaamoushi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.