Page 3 of 3

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Sun Jan 31, 2010 11:42 am
by munir-armaan-nasimi
manzar alam wrote:phool ki patti se cut sakta hai heere ka jigar
mard-e-naadaaN par kalaam-e-narm o naazuk be asar
Waah Waah Manzar Alam Saheb.. kya khoob sher hai. Shukriya. Magar Bhai jaan.. hum yahan "Khushboo" kii baat kar rahe hain....... kya hee achcha ho agar aap "Khushboo" lafz pe dher saare ashaar share karein.... Maza Aa Jaayega... !!

aapka apna

Munir Armaan[/b]
muneer armaan nasimi

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Sun Jan 31, 2010 11:46 am
by munir-armaan-nasimi
Aaj Kitni Nikhar Gayi Khushboo
Seedhe Dil main Utar Gayi Khushboo

Mere armaan sab hoye uske
Mujhse mil ke Sanwar Gayi Khushboo


[munir armaan nasimi kii ghazal se.........]

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Sun Jan 31, 2010 6:03 pm
by manzar alam
munir-armaan-nasimi wrote:
manzar alam wrote:phool ki patti se cut sakta hai heere ka jigar
mard-e-naadaaN par kalaam-e-narm o naazuk be asar
Waah Waah Manzar Alam Saheb.. kya khoob sher hai. Shukriya. Magar Bhai jaan.. hum yahan "Khushboo" kii baat kar rahe hain....... kya hee achcha ho agar aap "Khushboo" lafz pe dher saare ashaar share karein.... Maza Aa Jaayega... !!

aapka apna

Munir Armaan[/b]
muneer armaan nasimi
iske liye maiN ma;zarat KHwaah hooN
janaab muniir armaan nasiimi saHeb!
aap ki GHazal ke ye ash'aar bahut hi KHoob haiN
nacheez ki daad qubuul kareN!
=========================================

matloobah lafz''KHushbu''par she'r Haazir-e-KHidmat hai
raNg pairaahan ka ''KHushbu''zulf lehraane ka naam
mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Tue Feb 02, 2010 2:47 pm
by sbashwar
دامنِ دل ہے کہ خوشبو سے مہک اٹھا ہے
پھول گلشن کے کسی نے جو بکھیرے گھر میں
عبداللہ ناظرؔ

Re: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO

Posted: Mon Mar 01, 2010 3:11 pm
by munir-armaan-nasimi
خوشبو کی طرح آیا وہ تیز ہواؤں میں
مانگا تھا جسے ہم نے دن رات دعاؤں میں
:lol: