Page 3 of 4

ASAAK

Posted: Sat Dec 17, 2005 4:00 pm
by ummassad
ROZE HISAB JAB MERA PESH HO DAFTER -RE- AMAL
AAP BHI SHARAMSAR HO MUJHKO BHI SHARMSAR KAR

Posted: Sat Dec 17, 2005 4:16 pm
by Waqar Zaidi
ruswaa karay gi aur yeh deewaangi mujhay

aayaa jo bay khudi mein khayaal e khudi mujhay

===============================================

rag e sang say tapaktaa woh lahoo keh phir na thamtaa

jisay gham samajh rahay ho yeh agar sharaar hotaa

===============================================

Posted: Sun Dec 18, 2005 10:56 am
by Shummu
raat aaya tha khayal uska meri khilwat mai magar....
chand lamhoN mai magar usne mujhe tanhaa kardya

Posted: Sun Dec 18, 2005 5:14 pm
by Waqar Zaidi
rukh e raushan peh zulfain hain prishaan

keh pooraa chaand gehnaayaa huaa saa

===============================================

rang o boo nay bhi saath chhorh diya

raftah raftah tamaam phooloon kaa

===============================================

raftah raftah ho chali thi dil ko kuchh taskeen si

phir tasawwur mein koi aa aa kay tarhpaanay lagaa

*************************************************************

"ray"

Posted: Sun Dec 18, 2005 7:12 pm
by Abdullah Nazir



raaHat-e-dil hougaie jab nazr-e-ummeed-e-karam

ibtilaay-e-shauq ko aaraam-e-jaaN kehnaa paRaa.



Nazir.


Posted: Sun Dec 18, 2005 7:47 pm
by Shummu
rone waalon se kaho un ka bhi rona ro len
jin ko majboori-e-halaat ne rone na diya

Posted: Sun Dec 18, 2005 9:41 pm
by Waqar Zaidi


rah e gham mein kaantay hon jab har qadam par

kahaan tak koi apnaa daaman bachaayay

-------------------------------------------------------------------------------------

raushan thaa aasmaan to zameen kisht e zaafraan

day do miri zameen miraa aasmaan mujhay

*************************************************************

Posted: Sun Dec 18, 2005 9:49 pm
by RAUSHNEE
bus yonhi yaad aa gaya yeh sher


Ranjish he sahi....Dil he dukhanay k leye aa
aa phir say mujhe chhor k janay k leye aa

"ray"

Posted: Mon Dec 19, 2005 12:28 pm
by Abdullah Nazir



raaz-e-dil-e-naashaad sunaane ke liye aa

ik shab ke liye hansne hansaane ke liye aa.




Nazir,


Posted: Tue Dec 20, 2005 5:19 am
by Waqar Zaidi
raigzaar e zeest mein saayah tairi yaadoon kaa hay

dhoodtaa hoon har qadam par tairay qadmoon kay nishaan

===============================================

Posted: Wed Dec 21, 2005 6:15 am
by Waqar Zaidi
raah e dushwaar mein saabit qadami hay laazim

azm e muhkam ho to manzil abhi aasaan ho jaayay

===============================================

ranj kay baad khushi paa kay tujhay kia maaloom

mairaa kiaa haal ho aay dost mujhay kia ho jaayay

===============================================

Posted: Thu Dec 29, 2005 5:36 am
by Hashmat Usmani
ruuH ko taRpaa rahii hai unkii yaad
dard ban kar chhaa rahii hai unkii yaad


Shakeel Badaayuunii

"ray"

Posted: Thu Dec 29, 2005 8:38 am
by Abdullah Nazir



rahe jou koushish-e-naakaam kaa gilah tou rahe

hamaare haath se daaman magar chuRaa nah sake.




Nazir.,


Posted: Wed Jan 04, 2006 5:41 pm
by ummassad
roz-e- hisab jab mera paish ho dafter-e- amal
aap bhi sramsar houn mujhko bhi sramsar kar

Posted: Wed Jan 04, 2006 5:51 pm
by ummassad
raat bhar deeda-e- namnak main lahrate rahe
kuab ki tarahe se aap aate rahe jate rahe


----------------------------------------------------------------
ranj se kugar hua insaan tuu mitjata hai ranj
muskilain itnii padin mujh pe ki aasan hogain