Page 3 of 5
Posted: Mon Feb 20, 2006 8:39 pm
by Jibraan Khalil
aatish e zehn ko yuN bujhane laage
log apne gharoN ko jalaane laage
Saleh
aathish
Posted: Tue Feb 21, 2006 5:51 pm
by Abdullah Nazir
door houjaayengi tere dil kii saari ranjisheN
jab mire aansoo girenge aatiswh-e-rukhsaar per.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"aag"
Posted: Wed Feb 22, 2006 2:01 am
by Abdullah Nazir
pyaar kii aag meiN jal jaaye nah dunyaa meri
jab tiri yaad bhi aaye tou ghazal houti hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
aatish
Posted: Wed Feb 22, 2006 2:25 am
by Abdullah Nazir
waaqif heiN apni aatish-e-zakhm-e-jagar se ham
karte heiN Haal-e-dil jo bayaaN chashm-e-ter se ham.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"aatish"
Posted: Thu Feb 23, 2006 8:43 pm
by Abdullah Nazir
aatish-e-rang se phoolaoN kaa dai'haknaa dekhou
mausam-e-gul meiN parindaoN kaa chai'haknaa dekho.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"aatish"
Posted: Sat Feb 25, 2006 2:37 am
by Abdullah Nazir
ik shoAla-e-aatish hei yaa rang-e-gulistaaN hei
ab mujhko yaqeeN aayaa yeh faSl-e-bahaaraaN hei.
Nazir.
aag
Posted: Sun Feb 26, 2006 7:01 pm
by Abdullah Nazir
ThoukareN khaake bhi aayaa nah sanbhalnaa mujhko
jaane kab tak hei isi aag meiN jalnaa mujhko.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"aag"
Posted: Fri Mar 03, 2006 1:37 am
by Abdullah Nazir
aag lagti hei tou lag jaaye zamaane bhar ko
Harf aane nahiN paaye tire rukhsaaraoN per.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"aag"
Posted: Fri Mar 03, 2006 4:12 pm
by Abdullah Nazir
Lab-e-laAleeN se wo jab aag lagaane aayaa
bijliyaaN dil ke nasheman pe giraane aayaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
aag
Posted: Sun Mar 05, 2006 3:58 am
by Abdullah Nazir
khirman-e-dil ko mire aag lagaane waale
yeh bhii souchaa keh miri jaan pah kyaa guzregi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Mar 06, 2006 6:55 am
by ummassad
aatish parast kahte hyn aahle jahan mujae
sirgram naala hya sharerbar dekh ker
aathis
Posted: Fri Mar 10, 2006 3:44 am
by Abdullah Nazir
kyaa kyaa nah joush-e-aatish-e-taar-e-nafas rahaa
meHboob-e-Heelah-joo ko jafaa kaar dekhkar.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.