Page 3 of 3

Posted: Tue Jan 16, 2007 6:47 am
by hassan_bashir
mazaa kalaam ka bazm-e-sukhan-varaa meiN hai
k chaaNd ujaRe gharoN ki chhatoN pe kyaa nikale

sheAr

Posted: Wed Jan 17, 2007 4:26 pm
by Abdullah Nazir



"shaayer tou hei vohi keh jo fiTrat nigaar hou

jis ke her aek sheAr peh dil beqaraar hoiu".


Shaayer: Talib Razzaqi. Hyd.



Nazir.


sukhan

Posted: Mon Jan 22, 2007 4:46 am
by Abdullah Nazir



sukhan-Taraazi-e-maaHaul ko tarastaa hooN

suroor o kaif thaa bazm-e-sukhan meiN rehne tak.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.


ghazal

Posted: Tue Jan 23, 2007 5:14 am
by Abdullah Nazir



saayah parwardah hooN oos bazm-e-sukhan kaa :Nazir:

jis meiN mushshaatagi-e-Husn-e-ghazal houtee thee.


Shaayer: Abdujllah Nazir.



Nazir.


meHfil`

Posted: Wed Jan 24, 2007 12:38 am
by Abdullah Nazir



suroor-e-jaam-e-ulfat se thee bekhud raat bhar meHfil

mizaaj-e-shamA kee taa'eed jab parwaanah le aayaa.


Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Jan 24, 2007 6:24 pm
by hassan_bashir
hai mashq-e-suKhan jaarii chakkii kii mushaqqat bhii
ek turfaa tamaashaa hai "Hasrat" kii tabiiyat bhii

Posted: Mon Apr 30, 2007 5:11 pm
by ummassad
khulta kisi pe kyun mery dil ka maamila
shairoun ke intikaab ne ruswa kiya mujhey.

Posted: Tue Jul 24, 2007 2:42 am
by ummassad
hain awr bhi duniya main sukhanver bahout acchey.
kahtey hain ki galib ka hey andaaz e baiyan awr.

Posted: Thu Jul 26, 2007 2:24 pm
by balvinder
'meer' ke aNdaaz par kisne ghazal likkhii ''hafiiz''
mujhko zebaa hai agar is baat ka daava karooN


''hafiiz'' jaunpuri

Posted: Sat Jul 28, 2007 12:21 am
by rukhsar
hay tamanna harf -e gham laykar tamaam
ek GHAZAL main meer say baatyN karaiN
...............
rukhsar

Posted: Sat Jul 28, 2007 12:23 am
by rukhsar
zindgi say jab mohabbat he nahi
SHER phir kis kay liay kahtay hain aap
......................
rukhsar