Page 3 of 5
"taSveer"
Posted: Sat Apr 01, 2006 12:04 pm
by Abdullah Nazir
naamah likhte houe yeh souch ke ruk jaataa hooN
be-iraadah tiri taSveer nah ban jaaye kahiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Aug 06, 2006 6:58 am
by ummassad
chand tasweer.e. butaan aor haseenoun ke khutoot
baad merney ke merey gher se yeh saaman nikla
tasveer
Posted: Thu Aug 10, 2006 10:03 pm
by ummassad
tasveer
Posted: Sun Sep 17, 2006 12:54 pm
by Mayank
shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa
qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa
-Ghaalib
taSveer
Posted: Fri Dec 15, 2006 12:43 pm
by Abdullah Nazir
b]
kuch tou tarteeb-e-mulaaqaat ke aacaar bhee houN
yuN nah hou maiN tiri taSveer se uktaa jaaooN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/b]
Posted: Mon Dec 18, 2006 8:27 pm
by hassan_bashir
mujhe yeh zo'm k maiN husn ka musavvir hooN
unheN yeh naaz k tasveer to hamaaaaaari hai!!
Posted: Wed Dec 20, 2006 5:36 pm
by alwaysalone
MuddatoN Pehlay Tujh Se Ta'aruf Bhi Na Tha
Teri TaSveer Banatay Thay Khayalaat Main
Posted: Thu Dec 21, 2006 8:18 am
by hassan_bashir
haaaaaaadise aur bhii guzare terii ulfat ke sivaa
haaN mujhe dekh mujhe ab merii tasviir na dekh
Posted: Thu Dec 21, 2006 8:49 pm
by muhammad_19k
band aankhoaN se zamane meiN chala phirtaa hooN meiN
aankh meiN tasweer jub se hai tairi aa-ee hoee.
ShaAer: Muhamamd Khawar.
Posted: Mon Dec 25, 2006 10:47 am
by balvinder
main'ne to yoo'n hee raakh mein feree thee'n ungaliyaa'n
dekhaa jo gaur se, teree tasveer ban gayee
Posted: Mon Dec 25, 2006 12:02 pm
by hassan_bashir
aap ne tasviiiiiiiiiiiiiiiiiir bhejii maiN ne dekhii Ghaur se
har adaa achchhii, Khaamoshii kii adaa achchhii nahiiN
Posted: Mon Dec 25, 2006 12:38 pm
by balvinder
ab meraa dil mujhe tasveer-e-kadaa lagtaa hai
teree yaado'n ne yahaa'n naqsh ubhaare kitne
taSveer
Posted: Tue Dec 26, 2006 2:20 am
by Abdullah Nazir
mujh se her dam tiri taSveer yehi poochti hei
lauTkar waadiy-e-ghurbat se nahiN aaouge kyaa.
Shaayer: Abdullah lNazir.
Nazir.
Posted: Tue Jan 16, 2007 6:38 am
by hassan_bashir
hamane dikhaa dikhaa terii tasviir jaa-ba-jaa
har ik ko apanii jaan kaa dushman banaa liyaa
taSveer
Posted: Tue Jan 23, 2007 6:41 am
by Abdullah Nazir
TaSveer pheeki paRgayi tere firaaq meiN
jisko uThaake rakhdiyaa maiN ne bhee Taaq meiN.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.