Page 3 of 3
Posted: Sat Jun 10, 2006 1:46 pm
by ummassad
chalo accha hua kaam aagai deewangi apni
wagerno hum zamane bher ko samjhane kahan jaty
deewaanagi
Posted: Sun Jun 11, 2006 7:06 am
by Abdullah Nazir
khiradmandi se kuch behtar nahiN deewaanagi meri
yeh caabit kardiyaa hei us ne Thukraakar mire dil ko.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Jun 13, 2006 8:34 am
by hassan_bashir
tumhaarii mashelat aChhii k apna yeh junuuN behtar?!
saMbhal kar girne vaalo! ham to gir gir kar saMbhalte haiN!!
deewanagi
Posted: Wed Jun 14, 2006 1:45 pm
by Abdullah Nazir
deewaanagi-e-shauq ne kyaa Haal kardiyaa
dil hougayaa dimaagh, houaa hei dimaagh dil
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
lafz^ junooN par shae'er.
Posted: Tue Jun 27, 2006 11:24 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kahaaN hai kef-e-junoN meN hameN khabar apni
bala se hotee raheeN jag haNsaeyaaN kiya kiya.
shae'er muz^affar aHmad muz^affar
junooN
Posted: Sun Jul 02, 2006 3:53 pm
by Abdullah Nazir
junoon-e-shauq meiN tum saamne thay meri aankhaoN ke
bhaaa kyaa dekh paata maiN zamaane ke taghayyur ko.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Aug 06, 2006 4:17 am
by ummassad
buk raha houn main junooun main kiya kiya
kuch na samjhey khuda karey koi
Posted: Tue Aug 22, 2006 5:14 am
by Daanish
'junooN'
ai shor-e-junooN Dar hai zabaaN band na ho jaaye
gar aaye laboN par mire zindaaN ki shikayat--Momin
Posted: Thu Aug 24, 2006 5:20 pm
by PK Swami
Khirad bhee gosh bar aawaaz.e waqt thee lekin
Payaam jitne bhee aaye junooN ke naam aayee !
PK Swami