Page 3 of 10
Posted: Mon Aug 14, 2006 2:04 pm
by Daanish
dil-e-veHshi ko Khwaahish hai tumhaare dar pe aane ki
diwaana hai wa lekin baat kehta hai Thikaane ki--Jurra't
dil
Posted: Mon Aug 14, 2006 2:12 pm
by Abdullah Nazir
micl-e-seemab tumheN kaise taRaptaa dekhuN
is liye maiN nahiN kehtaa keh miraa dil houjaaou
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
dil
Posted: Mon Aug 14, 2006 3:42 pm
by ummassad
dil
Posted: Tue Aug 15, 2006 1:57 am
by Daanish
dil
un se bad Khu ka karam bhi sitam-e-jaaN hoga
maiN tau maiN Ghair bhi dil deke pashemaaN hoga.
--Momin
dil
Posted: Wed Aug 16, 2006 4:49 am
by Abdullah Nazir
dil diyaa jisko vohee khail rahaa hei dil se
ibtidaa yeh hei tou anjaam-e-muHabbat kyaa hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Aug 16, 2006 11:06 am
by Daanish
befaidah hai fikr mire chaaragaroN ko
sab zaKhm-e-jigar qaabil-e-marham nahiN hotay
--Naseem Dehalvi
Posted: Wed Aug 16, 2006 4:02 pm
by Daanish
woh nusKha jo dekha, baRHaa rog dil ka
tabeeb-e-moHabbat ne kaisi dawaa dii--Meer
Posted: Wed Aug 16, 2006 6:59 pm
by hassan_bashir
Khudaa rakkhe muhabbat ke liye aabaad donoN ghar!!!!!!!!!!!!!!!!
maiN un ke dil meiN rahataa huuN vo mere dil meiN rahate haiN!
Posted: Thu Aug 17, 2006 4:20 am
by Daanish
'dil/jigar'
ai chaarahgar jigar ki kasak kis taraH miTay
go dard kam hu'a bhi tau kam ho ke reh gaya--DaaGh
Posted: Thu Aug 17, 2006 3:43 pm
by hassan_bashir
dil hii to hai na saNd-o-khisht dard se bhar na aaye kyuN?
royeNge hum hazaar baar koee hameN sataaye kyuN?!
Posted: Fri Aug 18, 2006 11:26 am
by Daanish
'dil'
dil gaya, hosh gaya, sabr gaya, ji bhi gaya
shaGhl meiN Gham ke tire hum se gaya kya kya kuch--Meer
dil
Posted: Fri Aug 18, 2006 11:59 am
by Abdullah Nazir
"jalva-e-Husn se rangeeN dil-e-purdaagh miraa
shauq ke Hind meiN kashmeer nazar aataa hei".
Shaayer: Maulaanaa Hasrat Mouhaani
Nazir.
Posted: Fri Aug 18, 2006 1:54 pm
by Daanish
'dil'
kaun se paarah-e-dil par nahiN ab ishq ka daaGh
yeh nageeN woh haiN, ke jo naqsh-e-wafaa rakhte haiN
-Hyder Ali Aatish
Posted: Sat Aug 19, 2006 3:36 am
by ummassad
tujhey ghair ki tammana mujhey teri aarzu hey
tery dil main gum hi gum hey mery dil main tuu hituu hey
dil
Posted: Sat Aug 19, 2006 2:43 pm
by Abdullah Nazir
TooT jaaye ik zaraa see baat per wo dil nahiN
dekhlenaa maiN nahiN yaa saA'y-e-laa-HaaSil nahiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.