Page 3 of 5
Posted: Sat Aug 12, 2006 5:45 pm
by Daanish
ishrat-e-paara-e-dil zakhm-e-tamanna khhaana
lazzat-e-resh-e-jigar Gharq-e-namakdaaN hona--Ghalib
Posted: Sun Aug 13, 2006 11:21 pm
by ummassad
umr itni tu ata ker merey fun ko khaliq
mera dushman merey merney ki khaber ko tersee
"Ain"
Posted: Wed Aug 16, 2006 4:40 am
by Abdullah Nazir
"Eid kaa chaand aap ne dekhaa
lag gaye chaar chand shuhrat meiN".
Shaayer: Safi Aurangaabaadi
Nazir.
Posted: Wed Aug 16, 2006 10:55 am
by Daanish
A'ashiqaaN par hamesha roshan hai
ke fan-e-a'ashiqui, ajab fan hai--Wali Dakhni
Ain se
Posted: Fri Aug 18, 2006 12:38 pm
by Abdullah Nazir
Uqdah haaye zulf-e-jaanaa go keh suljhaate raheei
baat lekin gardish-e-ayyam tak pahunchi nahiN
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Aug 18, 2006 2:09 pm
by Daanish
ishq-o-mazdoori-e-ishrat_gah-e-Khusro, kya Khoob
hum ko tasleem niku_naami-e-farhaad nahiN--Ghalib
Ain
Posted: Sat Aug 19, 2006 3:01 pm
by Abdullah Nazir
Ishq meiN jab jaan se jaane lage
shamA ko parwaane, parwaane lage.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
ain
Posted: Sat Aug 19, 2006 5:18 pm
by ummassad
ain
Posted: Sun Aug 20, 2006 3:18 am
by Daanish
ahd-e-visaal, dil ne bhulaaya nahiN hanoz
a'alam miri nazar meiN samaaya nahiN hanoz--Haali
Ain
Posted: Sun Aug 20, 2006 4:30 am
by Abdullah Nazir
Ajab hei unka andaaz-e-taghaaful
bhari meHfil meiN tanhaa kardiyaa hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Aug 20, 2006 12:23 pm
by Daanish
adam se jaanib-e-hasti talaash-e-yaar meiN aaye
talaash-e-gul meiN, hum kis waadi-e-purKhaar meiN aaye--Aatish
Ain
Posted: Mon Aug 21, 2006 6:19 am
by Abdullah Nazir
b]
ujlat pasand kiyuN hei tujhe kyaa khabar nahiN
her thishnah lab ke waasTe meHfooz baadah hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/b]
Posted: Mon Aug 21, 2006 1:45 pm
by Daanish
'ain'
ishq ki raah meiN hai charKh-e-makaukab ki woh chaal
sust rau jaise koi aabla paa hota hai--Ghalib
dil
Posted: Mon Aug 21, 2006 6:32 pm
by Abdullah Nazir
dard-e-dil baRhtaa gayaa, deewaanagi baRhti gayi
moNh chupaakar daaman-e-jaanaaN meiN ham rouyaa kiye
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
dil
Posted: Mon Aug 21, 2006 6:32 pm
by Abdullah Nazir
dard-e-dil baRhtaa gayaa, deewaanagi baRhti gayi
moNh chupaakar daaman-e-jaanaaN meiN ham rouyaa kiye
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.