Page 3 of 18
Posted: Sat Sep 09, 2006 8:00 pm
by ummassad
yeh jo khwahishoun ka prinda hey'usey mousamoun se garaz nahin
yeh uradeyga apni he mouj main'usey aab dey jh suraab dey
(ye )
Posted: Sun Sep 10, 2006 3:25 am
by Daanish
'ye' se
'yeh samajh lo ke Gham-e-ishq ki takmeel hui
hosh meiN aa ke bhi jab hosh meiN aaye na banay'
--Jigar
'ye'
"ye"
Posted: Sun Sep 10, 2006 4:32 am
by Abdullah Nazir
yeh bhee aek moAjizah mere vujood kaa
fikr-e-kamaal baaqi hei daur-e-zavaal meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Sep 10, 2006 8:29 am
by Daanish
'riwayati bait-baazi'
'nuun' se
na jaane dil meiN woh kya sochte rahe paiham
mire janaaze pe taa der sar jhukaaye hu'e
--Jigar
"ye"
Posted: Sun Sep 10, 2006 11:18 pm
by Abdullah Nazir
yeh seHr-e-ahl-e-dunyaa hei wagarnah
kami kab thee duAa'aoN ke acar meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "ye" )
Nazir.
Posted: Mon Sep 11, 2006 2:55 am
by Daanish
'ye'
yahi keh ke tasalli-e-dil-e-nashaad kehte haiN
ke aisa bhi kabhi hota hai woh Khud yaad karte haiN
--Jigar
'nuun'
Posted: Mon Sep 11, 2006 6:17 am
by zmufti
na huii gar mere marane se tasallii na sahii
imtihaa.N aur bhii baaqii ho to ye bhii na sahii
Posted: Mon Sep 11, 2006 11:36 am
by Daanish
ya rab kisi ke raaz-e-moHabbat ki Khair ho
dast-e-junooN rahe na rahe aasteeN rahe
--Jigar
'ye'
"ye"
Posted: Tue Sep 12, 2006 1:42 am
by Abdullah Nazir
YuN hee baaqi jo rahaa mere junooN kaa Aalam
dil ke TukRe bhee bahar taar-e-girebaaN hounge.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( ye )
Nazir.
Posted: Tue Sep 12, 2006 2:31 am
by Daanish
yeh naaz-e-Husn tau dekho, ke dil ko taRpaa kar
nazar milaate nahiN muskuraaye jaate haiN
--Jigar
'noon'
Posted: Wed Sep 13, 2006 3:32 am
by ummassad
nh poucho mujh se lazat khnuma brbad hone ki
nashemun saikroun main ne bana ker phounk daley hain
( noon )
Posted: Wed Sep 13, 2006 3:48 pm
by Daanish
'noon'
na raha kya koi diwaanoN meiN?
Khaak uRti hai bayabaanoN meiN
--Jigar
'noon'
"noon"
Posted: Wed Sep 13, 2006 5:14 pm
by Abdullah Nazir
nah jaane tujh ko khayaal-e-rafoogari kab hou
hamaaraa daaman-e-dil taar taar hei kab se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( ye )
Nazir.
Posted: Wed Sep 13, 2006 7:18 pm
by zmufti
Yeh Kis Nay Hum Say Lahoo Ka Khiraaj Phr Maanga
Abi To Soye Thay Maqtt'al Ko Surkha'rooh Ker K.
Posted: Wed Sep 13, 2006 9:40 pm
by ummassad
yahi hey aazmana tu satanaa kisko kahtey hain
aadu ky holiye jeb tum tu mera imtihaan kyun ho