Page 3 of 8
Posted: Sun Dec 10, 2006 6:58 am
by hassan_bashir
voh gali hai ik sharaabi_chashm kaafir kii gali!
us gali meiN jaaiiye, to laR khaRaate jaaiiye!!
"Mai"
Posted: Sun Dec 10, 2006 1:08 pm
by Abdullah Nazir
kardiyaa mast-e-mai-e-shauq pilaakar mujhko
chashm-e-makhmoor se hou yaa kisi paimaane se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 1:25 pm
by najeeb
Maikashi ki khair , hai zinda isi ke faiz se
Rind ka, saaqui ka, mai ka, khum ka, paimaane ka naam
(Faiz Ahmed Faiz)
Posted: Sun Dec 10, 2006 1:36 pm
by najeeb
Na tajruba kaari se waayez ki yeh baateN haiN
Is rang ko kya jaane poochho ke kabhi pee hai?
sharaab
Posted: Tue Dec 12, 2006 12:48 am
by Abdullah Nazir
lab-e-ghunchah dahan se gar sharaab-e-angabee pee louN
Tilism-e-baadah-e-ulfat se dil masrror houjaaye.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
mai
Posted: Tue Dec 12, 2006 2:48 am
by Abdullah Nazir
madhoush hougayaa hooN mai-e-chashme yaar se
ab mujhko koii kaam nahiN hei bahaar se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
sharaab
Posted: Wed Dec 13, 2006 4:11 am
by Abdullah Nazir
nah maikadah hei nah jaam-e-sharaab kee lazzat
nahiN wo loag muHabbat ke jou thay rakhwaale.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Dec 14, 2006 6:26 am
by zmufti
ik yaad hai keh cheen rahi hai laboN se jaam
ik aks hai keh kaaNp raha hai sharaab meN
Posted: Thu Dec 14, 2006 7:44 am
by hassan_bashir
maikhaane se, sharaab se, saaqi se jaam se
apni to zindagi shuru hoti hai shaaaaaaam se
mai
Posted: Fri Dec 15, 2006 2:14 am
by Abdullah Nazir
lazzat-e-mai bhee hei deewaanagiy-e-shauq bhee hei
tujh se milkar maiN houaa saare jahaaN se ghaafil..
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
mai
Posted: Sat Dec 16, 2006 6:10 am
by Abdullah Nazir
naam saaqi kaa liyaa aur lagaali moNh se
ghunchah lab se jo mai-e-shauq mili shukr-e-khudaa..
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Dec 16, 2006 7:37 am
by hassan_bashir
kitanii pii kaise kaTii raat mujhe hosh naheeN
raat k saath gaii baat mujh hosh naheeeeeeN
aaNsuuoN aur sharaaboN meiN guzar hai ab to
maiN ne kab dekhii thii barsaat mujhe hosh naheeN
jaane kyaa TuuTa hai paimaana k dil hai mira
bikhre-bikhre haiN khayalaat mujhe hosh naheeN
mai
Posted: Sun Dec 17, 2006 6:25 am
by Abdullah Nazir
nasha-e-mai bhee hei, deewaanagiy-e-shauq bhee hei
aayeenah dekhooN tou khud ko bhee nah pehchaan sakooN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
mai
Posted: Mon Dec 18, 2006 4:18 am
by Abdullah Nazir
itni mili hei jaam-e-mai-e-chashm-e-yaar se
khud ko talaash karne kee furSat nahiN rahee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
sharaab
Posted: Mon Dec 18, 2006 7:27 pm
by Abdullah Nazir
sharaab-e-angabeeN lab-e-laAleeN se mil jaaye
tou mujhko zindagi bhar yaad aayegaa nah maikhaanah.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.