Page 3 of 3

Posted: Tue Jul 24, 2007 1:54 am
by ummassad
ager duniya chamen hoti tu veeraney kahan jatey
na milta gham tu barbadi ke afsaaney kahan jatey.

Posted: Wed Jul 25, 2007 10:12 am
by balvinder
iska bhii ehatisaab zaroori hai ai ''umar''
duniya ko toone kya diya duniya se kya liya


''umar'' ansari

Posted: Sun Aug 05, 2007 11:00 pm
by hassan_bashir
khuda jaane yeh duniya jalvagah-e-naaz hai kis kii
hazaaroN uuThh gaye lekin vahii raunaq hai majlis kii

Posted: Tue Aug 07, 2007 10:02 am
by balvinder
zamaana Khuda ko Khuda jaantaa hai
yahii jaantaa hai to kyaa jaantaa hai
Khuda aise baNdoN se kyoN fir na jaaye
jo baiTha huaa maaNganaa jaantaa hai

yagaana chaNgezii

Posted: Wed Aug 08, 2007 11:18 am
by hassan_bashir
tune ai dekhne vaaale abhi dekha kyaaa hai?
ik tamaasha hi tamaasha hai yeh duniya kyaa hai?!

Posted: Sat Aug 11, 2007 3:57 am
by ummassad
is aalam e hasti se guzar jayoun ja ak din.
saaya houn faqat naqash ba deewar nahin houn.

Posted: Mon Aug 27, 2007 1:56 am
by ummassad
ahel e duniya bahout aaram se rehtey hain mager
kb muyesar hey teri rehguzer main rehna.

Posted: Thu Aug 30, 2007 3:17 am
by ummassad
duniya meri balaa se mahngi hey ya sasti hey.
mout miley tu muft na loon hasti ki kiya hasti hey.

Posted: Sat Sep 01, 2007 5:18 pm
by ummassad
ager Duniya chaman hoti tu veeraney kahaan jatey.
na milta gham tu barbadi ke afsaney kahaan jatey.

Posted: Tue Sep 04, 2007 8:59 pm
by ummassad
youn kiya gireyegi DUNIYA nazar se ab
itney huey zaleel kh khud,daar hogaiye.

Posted: Fri Sep 07, 2007 9:03 pm
by ummassad
tujhko ruswa e zamana nahin honey dounga.
humnay pahchan e wafa sub se bana rakhi hey.

Re: lafz par ash'aar: Duniya, jahaan, zamaana, aalam!

Posted: Thu Jul 24, 2008 7:37 pm
by hassan_bashir
zamaane bhar kii nigaahoN se giir chuka hooN maiN,
nazar se tum na giraao, k maiN sharaabii hooN!
:|

Re: lafz par ash'aar: Duniya, jahaan, zamaana, aalam!

Posted: Fri May 14, 2010 6:01 pm
by sbashwar

ہم بھی تھے اپنی دنیا میں ہم دوستو **** چومتا تھا زمانہ قدم دوستو
عبداللہ ناظر