Page 3 of 4

Posted: Fri Mar 25, 2005 8:38 am
by syed bilal armaan
Sochta hoon phool ki pati se bhi nazuk ye dil
patharo'un ki barish'oun may kaise zinda raha...

Posted: Fri Mar 25, 2005 8:24 pm
by rahmed25682
Kaghaz kay phool sar per sajaa kar chaly hayaat
Nikly baroon-e-shehr to baarish nay aa liya



Khush rahain

Khair andesh

Raheel Ahmed

"baarish"

Posted: Sat Mar 26, 2005 5:12 am
by Abdullah Nazir



baarish meiN uskaa bheegnaa dekhaa nahiN gayaa

ham saath khainch laaye use saa'ibaan meiN



Nazir.


Posted: Sat Mar 26, 2005 2:52 pm
by Hashmat Usmani
har pattii bojhal ho ke girii, sab shaaKheN jhuk kar TuuT gaiiN
us baarish hii se fasal ujaRii jis baarish se taiyaar huii


Mai'Hshar BadaayuuNii

"baarish"

Posted: Sun Mar 27, 2005 8:12 am
by Abdullah Nazir



phool baarish meiN tabassum ke khilaate rehnaa

haath lehraake mujhe paas bulaate rehnaa



Nazir.


Posted: Sun Mar 27, 2005 12:51 pm
by fatimah
aslaam_u_alikam

wo terey naseeb kii baarishein kisii aur chat per baras gaaien
dil e bekhabar merii baat sun ussey bhool jaa ussey bhool jaa

Posted: Sun Mar 27, 2005 3:08 pm
by syed bilal armaan
in barish'oun se dosti achhi nahi FARAZ
kachha tera makan hai kuch tou kayaal kar...

"barish"

Posted: Sun Mar 27, 2005 6:40 pm
by Abdullah Nazir



deewaar o dar makaan ke paani meiN beh nah jaayeN

chuptaa hei koii kis liye baarish ke khauf se



Nazir.


Posted: Mon Mar 28, 2005 4:42 am
by Ibn-e-siddique
baarish-e-vasl vo hui saara ghubaar dhul gaya
vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye

"baarish"

Posted: Mon Mar 28, 2005 12:49 pm
by Abdullah Nazir



Baarish meiN bheegnaa tujhe achcha lagaa magar

kapRe badalne aa ke sunaaooN maiN apni baat.



Nazir.


Posted: Tue Mar 29, 2005 2:25 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

bhai ab bahot ho chukii baarish, ab to yeh 'aalam hai ki:


vafoor-e-"baarish [ :roll: ]" ne kaashaane kaa kiyaa yeh rang
ki ho gaye mire deevaar_o_dar, dar_o_deevaar!


ab koii to "dhoop" dikhlaaye ki yeh sailaab-e-balaa ko Khushk kare! :grin:

Hashmat

Posted: Tue Mar 29, 2005 5:58 am
by Hashmat Usmani
sara_j wrote::lol: kahan hai armaan saahib ??? vahi lafz dete hain tou ab unka intezar akrte hain hum ke voh aayein aur naya lafz dein.
Saara, mujhe aur aapko kahiiN "Armaan" saaHib kaa "armaan" hii na rah jaaye. :lol:

Arman saaHib aisa na kijiiyegaa, kiuNki:


Tuk! ham soKhta_jaanoN kii tu jald Khabar le
kia, yaar! bharosa hai CharaaGh-e-saharii kaa
:roll:

Meer jii kii rooH se is sher [she'r] kii gardan_kashii ke liye ba_sad ma'azarat ke saath :-)

Hashmat

"baarish"

Posted: Tue Mar 29, 2005 5:37 pm
by Abdullah Nazir



baarish ke din heiN aur tiraa allhaR shabab hei

aakhir maiN kyaa karuN dil-e-khaanah kharaab ko



Nazir.


Posted: Wed Mar 30, 2005 7:50 am
by Ibn-e-siddique
Yeh ehtijaaj baja hai ke tez thi baarish
Yeh man'na hai ke kacha tha apne sheher ka rang

"baarish"

Posted: Wed Mar 30, 2005 8:25 am
by Abdullah Nazir



AankhaoN meiN ashk aagaye baarish kii baat per

kyaa din thay wo jo teri rifaaqat meiN kaT gaye



Nazir.