Page 3 of 65
Posted: Tue Dec 21, 2004 5:51 am
by Hashmat Usmani
ghiste
ghiste, ghiste paaoN meN zanjiir aadhii rah gaii
mar gaye par qabr kii ta'meer aadhii rah gaii
sab hii paRhtaa, kaash!, kiuN takbeer aadhii rah gaii?
-----khiNch ke, qaatil!, jab tirii shamshiir aadhii rah gaii
-----Gham se jaan-e-'aashiq-e-dil_geer aadhii rah gaii!
Asad Ullah KhaaN "Ghaalib" aur Bahaadur Shaah "Zafar"
lafze-e-"Gham" ya lafz-e-"gaii" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Tue Dec 21, 2004 6:14 am
by Ibn-e-siddique
gham agarche jaaN gusl hai pa bacheN kahaaN ke dil hai
gham-e-ishq agar na hota, gham-e-rozgaar hotaa
Posted: Tue Dec 21, 2004 6:29 am
by Hashmat Usmani
Gham
Gham ne jab gheraa, to chaahaa ham ne yuuN, ai dil_navaaz!
mastii-e-chashm-e-siyah se chal ke hoveN chaarah_saaz
tuu sadaa-e-paa se jaagaa, thaa jo mai'Hv-e-Kh(ow)aab-e-naaz
-----dekhte hii ai sitam_gar! terii chashm-e-neem_baaz
-----kii thii poorii ham ne jo tadbeer, aadhii rai'h gaii!
Asad Ullah KhaaN "Ghaalib" aur Bahaadur Shaah "Zafar"
lafze-e-"kii" ya lafz-e-"gaii" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Tue Dec 21, 2004 7:37 am
by Ibn-e-siddique
ki mire qatl ke baad us ne jafaa se tauba
haaye us zood pashemaaN ka pashemaaN hona
Posted: Wed Dec 29, 2004 2:36 pm
by Hashmat Usmani
haye
haye-haye, Khuda na_Khowasta, vo aur dushmani!
ai shauq!, munfa'il! yeh tujhe kia Khayaal hai
Ghaalib
lafze-e-"ai" ya "hai" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Sat Jan 01, 2005 1:02 am
by Hashmat Usmani
aur
aur baazaar se le aaye, agar TooT gayaa
saaGhar-e-jam se miraa jaam-e-sifaal achchhaa hai
Ghaalib
lafze-e-"saaGhar" hai "hai" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Sat Jan 01, 2005 6:42 pm
by Shummu
Hai dil ko yaqeeN aayenge woh laut ke ek roz
jaise woh koi cheez yahaan bhool gaye hoN
Jaise/hoN
Posted: Sun Jan 02, 2005 10:22 pm
by Ibn-e-siddique
jaise ham aadam-o-havva ki sazaa bhool gaye
varghalaate rahe jannat ke nazaare kiya kiya
varghalaate / kiya
Posted: Mon Jan 03, 2005 3:27 am
by Hashmat Usmani
dil
dil-e-naa_daaN! tujhe huaa kia hai?
aaKhir is dard kii davaa kia hai?
Ghaalib
lafze-e-"aaKhir" hai "hai" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Mon Jan 03, 2005 12:24 pm
by Shummu
aaKhir Ghazal kaa taajmahal bhii hai makbaraa
ham zindagii the hamko kisii ne jiyaa nahii.n
HAM/NAHIIN
Posted: Wed Jan 05, 2005 4:50 am
by Hashmat Usmani
nahiiN
nahiiN minnat_kash-e-taab-e-shuniidan daastaaN merii
Khamoshii guftugu hai, be_zubaanii hai zubaaN merii?
Ghaalib
lafze-e-"Khaamoshii/Khamoshii/Khaamshii" ya lafz-e-"merii" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Wed Jan 05, 2005 6:54 am
by Mohib
khamoshi kah rahi hai kaan mein kya
aa raha hai mere gumaan nein kya
ye mujhe chain kyuN nahin padtaa
ek hi shaks tha jahaan mein kya??
ek aur kya
Posted: Wed Jan 05, 2005 11:53 am
by Hashmat Usmani
kia
kia rahuuN Ghurbat meN Khush, jab ho Havaadis kaa yeh Haal
naamah laataa hai vatan se naamah_bar aksar khulaa?
Ghaalib
lafze-e-"naamh" ya lafz-e-"khulaa" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.
Posted: Wed Jan 05, 2005 12:21 pm
by Shummu
Khulaa ye bhed Ke tanhaaiyaaN hi qismat haiN
ik umr dekh liiN MehfileiN Sajaa Kar bhi
ik/bhi
Posted: Wed Jan 05, 2005 1:38 pm
by Hashmat Usmani
are Shummu kitnii mushkil meN daal diyaa mujhe aapne. mujhe to sirf EK hii lafz kii ri'aayat milii hai. mujhe nahiiN lagta ki koi she'r lafz-e-"bhii" se shur'u hotaa hogaa. aur dusre lafz meN bhi DanDii maar dii...aap agar mujhe ONE kii teenoN haiyat kii ijaazat de detiN to mera kaam aasaan ho jaataa ya'nii EK/IK/YAK ...chalo koii baat nahiiN, mu'aaf kiyaa kisii saaHib e s Khaa ne
ik
ik sharar dil meN hai, usse koii ghabraayegaa kia?
aag matloob hai hamko jo hawaa kahte haiN?
Ghaalib
lafze-e-"aag" ya lafz-e-"haiN" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.