Page 3 of 43

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:24 am
by najma
apne haathoN se nasheman ko jala dete haiN
hausla seekhe koee khaanmaaN barbaadoN se
nafis ahmad siddiqui

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:28 am
by Hashmat Usmani
Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa
phir mujhe de diyaa gayaa ek diyaa bujhaa huaa


Piir Zaadah "Qaasim"

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:31 am
by najma
jawaan apna jawano!
ye walwalah rakhna
diyaa, diye se jalane ka silsilah rakhna
najma

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:41 am
by Hashmat Usmani
phooloN kii tarah dil meN basaaye huye rakhnaa
yaadoN ke charaaGhoN ko jalaaye huye rakhna
lambaa hai safar is emN kahiiN raat to hogii

beete huye lamHoN kii kasak saath to gii
KhaaboN meN hii ho chaahe mulaaqaat to hogii

Posted: Fri Apr 15, 2005 2:46 am
by najma
zindagi ki rawish rawish ham ne
apna daaman sada bachaya hay
har qadam phoonk phoonk kar rak.kha
har qadam par fareb khaya hay
najma

Posted: Fri Apr 15, 2005 3:10 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:zindagi ki rawish rawish ham ne
apna daaman sada bachaya hay
har qadam phoonk phoonk kar rak.kha
har qadam par fareb khaya hay
najma
zindagii kii reh meN chal, lekin zaraa bach_bach ke chal
yeh samajh le koii meenaa_khaana baar-e-dosh hai


'allaamah Iqbaal

Posted: Fri Apr 15, 2005 10:31 am
by najma
har ik guzar-gah-e-ayyaam mujh se raushan thii
falak-shinaas sitaare mirii nazar ke thay

Posted: Sat Apr 16, 2005 12:01 am
by Hashmat Usmani
merii aaNkhoN meN dekh ke taare, sitaare saare sharmaa gaye
par sajnii ne Haal na puuchhaa, aur samjhaane sab aa gaye


Ibraheem "Ashk"

Posted: Sat Apr 16, 2005 12:24 am
by najma
kya sadaqat bhi jurm hay koee?
log kyuuN aarahay haiN samjhane ?
najma

javaab

Posted: Sun Apr 17, 2005 5:24 pm
by Abdullah Nazir



Sitam aur uos pah khamoushi kaa hukm aiy Sayyaad

zubaan taRaptii rahegi dahan meiN rehne tak.




Nazir.


Posted: Sun Apr 17, 2005 6:31 pm
by najma
faryaad jo karte haiN to kaTtee haiN zabaaneN
kis aaas pe ham adl ki zanjeer hilaaeiN
najma

Posted: Mon Apr 18, 2005 1:25 am
by Hashmat Usmani
rahii baalaa_nashiiN uftaad merii
falak_parvaaz hai faryaad merii


Seemaab Akbarabadi

javab

Posted: Mon Apr 18, 2005 11:13 am
by Abdullah Nazir



naashanaasaaye gham-e-dil nah samajh le mujhko

terii bedaad pah bhii tujhko duAaa detaa hooN.



Nazir.


Posted: Mon Apr 18, 2005 2:50 pm
by najma
terii be-daad ka meh,shar meiN karengay shikwah
ham ne insaaf, qayaamat pe uThaa rak,kha hay
najma

Posted: Mon Apr 18, 2005 3:34 pm
by Aanchal
Adal-o-insaaf faqat hashar pay mouqoof nahi
zindagi khud bhi ghunahoun ki saza dayti hai