Page 3 of 6
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 3:31 pm
by Abdullah Nazir
Her rouz zakhm-e-taazah se mujko nahiN mafar
SeHraa mein kab se micl-e-ghazaal-e-rameedah hooN.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 3:57 pm
by najma
bohat khoob
aaj us ne mire zakhmoN pe chiRakne ke liye
zeh,r bhii laa ke milaya hay namak-danoN meiN
najma
"zkhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 5:59 pm
by Abdullah Nazir
anginat zakhm diye teri shanaasaayii ne
bhool jaanaa tujhe aasaan hei kyaa mere liye?
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 6:52 pm
by najma
go, ye marham to naheeN, zakhm-e-jigar ke haq meiN
gul se beh,tar haiN, jo khaaroN ke payaam aate haiN
nafis ahmad siddiqui
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 8:19 pm
by Abdullah Nazir
zakhm-e-dil ke liye marham bhii moyassar hei kahaaN
tujh se ab chaarahgari kii koii ummeed nahiN.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 8:24 pm
by najma
kis raah meiN hay mausim-e-gul, DhoonD ke laao
zakhmoN se mire hogii mudaaraat kahaaN tak
najma
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 8:34 pm
by Abdullah Nazir
bardaasht nahiN mujh meiN tap-e-zakhme-jigar kii
faryaad nah aajaye kahiN meri zubaaN tak.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 8:35 pm
by najma
ham to samjhe thay keh ik zakhm hay, bhar jaeyga
kya khabar thii keh rag-e-jaaN meiN utar jaeyga
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 8:44 pm
by Abdullah Nazir
Zakhm lagtaa hei jo duzdeedah nigaahii se tiri
kaun kehtaa hei ke aasaani se bhar jaayegaa.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 8:51 pm
by najma
zakhm dil ke bhar gaey abroo-e-qatil dekh kar
bakht ne mere liye khanjar ko marham kardiya
naasikh
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:00 pm
by Abdullah Nazir
Kyaa chalaa jaaooN maiN zkhakhm-e-dil ko hanstaa chouRkar
yaa tire haathaoN meiN marham hei lagaane ke liye?
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:05 pm
by najma
kal mujhe jis ne zakhm bakh,she thay
aaj uskii bhi chashm tar hogii
najma
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:13 pm
by Abdullah Nazir
hazaar zakhm sahungaa tiri muHabbat meiN
mujhe shikast-e-wafaa mehrbaaN qubool nahiN.
Nazir.
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:17 pm
by najma
har har qadam pe jis ne diye zakhm be-shumaar
us fitna-gar ko bhool na jaaoN to kya karooN
najma
"zakhm"
Posted: Wed Apr 13, 2005 9:25 pm
by Abdullah Nazir
Kehne ko tap-e-zakhm-e-jigar kam tou nahiN hei
Aiy bhoolne waale tuu mire dil meiN makeeN hei.
Nazir.