Page 3 of 9
Posted: Fri Apr 22, 2005 12:57 pm
by Hashmat Usmani
mil bhii jaate haiN to katraa ke nikal jaate haiN
haaye! mausam kii taraH dost badal jaate haiN
Bashiir Badr
Posted: Fri Apr 22, 2005 11:05 pm
by Hashmat Usmani
chaman roye, haNse shabnam, biyaabaaN par nikhaar aaye
ek aisaa bhii nayaa mausam mere parvar-digaar aaye
Qamar Jalaalwii
"mausam"
Posted: Fri Apr 22, 2005 11:46 pm
by Abdullah Nazir
churaalo umr miri aek shaam hii kyaa hei
agar yeh piyaar kaa mausam tumheN buraa nah lage
Nazir.
Posted: Sat Apr 23, 2005 12:01 am
by najma
sard mausim meiN kaheeN saaNs na jamne paey
jism ke khol meiN ik shola, sadaa ka rakhna
Posted: Sat Apr 23, 2005 12:10 am
by Hashmat Usmani
jaate mausam kii 'ajab tasviir hai chaaroN atraaf
darmiyaaN us ke hai ik pattaa haraa hotaa huaa
Hari Manchanda "Bani"
Posted: Sun Apr 24, 2005 1:27 am
by Hashmat Usmani
achchhaa saa koii mausam, tanhaa saa koii 'aalam
har waqt kaa ronaa to be_kaar kaa ronaa hai
Nida Faazli
Posted: Sun Apr 24, 2005 4:00 am
by Hashmat Usmani
aaaaaaaawwwww Saaraa...na roiye
kaaNToN kii chubhan paii, phuuloN kaa mazaa bhii
dil dard ke mausam meN royaa bhii, haNsaa bhii
Sundar Malik "Gumnaam"
Posted: Sun Apr 24, 2005 10:33 pm
by Hashmat Usmani
kabhii gunchaa, kabhii sho'la, kabhii shabnam kii taraH
log milte haiN badalte huye mausam kii taraH
Ra'na "SaHrii"
Posted: Mon Apr 25, 2005 3:28 am
by Hashmat Usmani
zulm ke kaale baadal se Darnaa kaisaa
ye mausam to aane jaane vaale haiN
Majid Deobandi
Posted: Mon Apr 25, 2005 3:47 am
by Hashmat Usmani
kaaNToN kii chubhan paii. phuuloN kaa mazaa bhii
dil dard ke mausam meN royaa bhii, haNsaa bhii
Surendra Malik "Gumnaam"
Posted: Mon Apr 25, 2005 4:10 am
by Hashmat Usmani
biitaa diid ummiid kaa mausam, Khaak uRtii hai aaNkhoN meN
kab bhejoge dard kaa baadal, kab barkhaa barasaaoge
Faiz AHmad "Faiz"
"mausam"
Posted: Mon Apr 25, 2005 3:29 pm
by Abdullah Nazir
kitne mausam aaye gaye , ham dil waalaoN ke jeevan meiN
tujh se jitnaa piyaar kiyaa thaa, us se ziyaadah aaj bhii hei.
Nazir.
Posted: Tue Apr 26, 2005 1:14 am
by Hashmat Usmani
udaas kaaGhazii mausam meN rang_o_buu rakh de
har ek phuul ke lab pe meraa lahuu rakh de
Bashir Badr
Posted: Tue Apr 26, 2005 5:54 am
by Hashmat Usmani
biit gayaa saavan kaa mahiina, mausam ne nazareN badalii
lekin, in pyaasii aaNkhoN meN ab tak aaNsuu bahte haiN
Habiib Jaliib
Posted: Wed Apr 27, 2005 11:08 am
by najma
bahar qadam na rakhna tum is andherii shab meiN :?
pehle ye soch lena mausim hay baarishoN ka
khawar qureshi