Page 3 of 8
shab
Posted: Fri May 06, 2005 7:30 pm
by Abdullah Nazir
parvaanah waar din kii ghaRyaaN guzarrahii heiN
be shamA kaT rahii hei aazurdah Haal her shab.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
[/color
Posted: Fri May 06, 2005 7:55 pm
by najma
ik wo, keh shab ko soorat-e-e-rang-e-sahar kareN
ik ham, keh jinko raat pe din ka qayaas hay
bakhsh
"raat"
Posted: Fri May 06, 2005 11:27 pm
by Abdullah Nazir
correction: "chaand taare shajar Hajar khamoush.
wo ujaalaa hei ufaq per ke tasavvur bhii nah thaa
dekhte dekhte yooN raat ne badlii karwaT.
Nazir.
Posted: Fri May 06, 2005 11:29 pm
by najma
shaam dehleez pe aeygii liye shab ka khiraaj
zarfishaaN sub,h ki jab pehlii kiran hay itnii
khawar qureshi
'raat"
Posted: Fri May 06, 2005 11:48 pm
by Abdullah Nazir
mujhko jis chaand ae aane kii hei Hasrat :Nazir"
chup nah jaaye kahiN baadal meiN wo deedar kii raat.
Nazir.
Posted: Fri May 06, 2005 11:52 pm
by najma
raat bhar sooraj kisi ke sir pe manDlaata raha
din me tare toRne ki rasm dohraaee gaee
najma
"raat"
Posted: Sat May 07, 2005 12:01 am
by Abdullah Nazir
aane waalaa hei koii aayegaa khushiyaaN lekar
is tavaqquA pah guzarti hei dil-e-zaar kii raat.
Nazir.
Posted: Sat May 07, 2005 12:06 am
by najma
shab-e-furqat meiN dil hay mutma,inn saa
ye nish,tar baai,c-e-aaraam kyuuN hay
najma
shab
Posted: Sat May 07, 2005 12:18 pm
by Abdullah Nazir
kaash vaSl-e-rang-e-shab barqaraar reh jaataa
kaash gaisoo-e-jaanaaN SubHdam sanwar jaate.
Nazir.
Posted: Sat May 07, 2005 12:26 pm
by najma
dil agar tanhaa meraa tiir-o-kamaaN kii zad pe thaa
dil kii zad par bhii rahe tiir-o-kamaaN kal raat ko
"shab"
Posted: Sun May 08, 2005 1:57 am
by Abdullah Nazir
yaarub shab-e-viSaal kii ummeed kyaa houii
aayaa nah kiyuN duAaa meiN acar der kiuN houii.
Nazir.
--------------------------------
Posted: Sun May 08, 2005 8:22 am
by najma
tum raushni meiN raat ke asbaab ki tarah
ham teeragii meiN kirmak-e-shab-taab ki tarah
bakhsh
"raat"
Posted: Sun May 08, 2005 12:01 pm
by Abdullah Nazir
do musaafir thay raat bhar khaamoush
maiN idhar aur wo udhar khaamoush.
Nazir.
Posted: Sun May 08, 2005 6:52 pm
by najma
Kal chodhveen ki raat thi, shab bar raha charcha tera,
Kuch nay kaha yeh chaand hai, kuch nay kaha chehra tera!
Posted: Sun May 08, 2005 9:31 pm
by brainheater
andheri raat ke raaton na jhilmilao tum
khudai so gayi hai aanso baha raha hai koi