Page 21 of 29

Posted: Thu Jul 06, 2006 9:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sawaliyah

teer ho shishah ho patthar ho ya aaenah ho
ham kiye beThe haiN pewast-e-rag-e-jaaN kiya kiya?

shae'r muzaffar

???

Posted: Fri Jul 07, 2006 4:17 am
by Abdullah Nazir



kahaaN talaash karooN usko kis jagah DhoonDooN

junoon-e-aagahi sar per sawaar hei kab se


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Fri Jul 07, 2006 2:47 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
maiN to beete dinooN kee khooj meN hooN
to kahaaN tak chale ga mere sath?

Nasir Kazmi

Posted: Sat Jul 08, 2006 2:40 pm
by hassan_bashir
puuChho to "Meer" se kyaa koii nazar paRaa hai ?!
Cheharaa utar rahaa hai kuchh aaj us javaaN kaa!!

???

Posted: Sun Jul 09, 2006 4:58 am
by Abdullah Nazir



jeene de aur nah marne de Ahd-e-wafaa mujhe

tum ne yeh kis gunaah kee dee hei sazaa mujhe


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Jul 15, 2006 2:59 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kiya maSleHat shanaas tha woh aadmee Qateel?
majburiyooN ka jis ne wafa nam rakh diya.

Qateel shafai.

???

Posted: Sun Jul 16, 2006 2:53 am
by Abdullah Nazir



kisko hei Hasrat-e-aasaayish-e-jaaN dunyaa meiN

jis TaraH se bhee guzarti hei guzar jaane do.


Shaayer: Abdullah Nazir


Nazir.


???

Posted: Wed Jul 19, 2006 8:37 am
by Abdullah Nazir



sail-e-khooN kaise chupegaa nigah-e-Aalam se

ham jo qaatil ko pashemaaN nahiN houne deNge.


Shaayer: Abdullah Nazir


Nazir.


???

Posted: Tue Jul 25, 2006 6:07 am
by Abdullah Nazir



SeHraa SeHraa ghoomne waalaa pardesi ab pooche hei

tum hee bataaou maiN deewaanah tum ko kaisa lagtaa hooN



Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Fri Jul 28, 2006 11:08 pm
by ummassad
tha jalana hi agar doori.e.saaqi se mujhey
tuu charaag.e. derey maikhana banaya hota

Posted: Mon Jul 31, 2006 1:04 pm
by hassan_bashir
jo meri laash ko dekhaa to bhole-pan se kahaa,
yeh kaun hai, zaraa poochho iise hu'aa kyaa hai?

???

Posted: Tue Aug 01, 2006 5:08 am
by Abdullah Nazir



sukooN milaa nah unheN katm-e-Haal-e-dil se bhee

wo poochte heiN sabab meri bezubaani kaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Aug 05, 2006 10:13 am
by hassan_bashir
kyuN hameN maut ke paighaam diye jaate haiN?
yeh sazaa kam hai ke jeeYe jaate haiN ?!

???

Posted: Sat Aug 05, 2006 2:31 pm
by Abdullah Nazir



nah jaane tujh ko khayaal-e-rafoogari kab hou

hamaaraa daaman-e-dil taar taar hei kab se? .


Shaayer:Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Aug 05, 2006 7:17 pm
by zmufti
ik dard ka phaila hua sehra hai keh maiN hoN
ik mauj maiN aayaa hua daryaa hai keh tum ho