Page 21 of 65
Posted: Wed May 18, 2005 4:55 am
by Hashmat Usmani
raah aasaan ho gaii hogii
jaan pahchaan ho gaii hogii
Saifuddin Saif
JAAN / HOGI
reh
Posted: Wed May 18, 2005 4:55 am
by Abdullah Nazir
reh gaii baat adhuri miri waqt-e-rukhsat
tum se kehdoongaa wo dobaarah mulaaqaat ke bad.
tum /bad
Nazir.
Posted: Wed May 18, 2005 5:06 am
by Hashmat Usmani
tum aa.Nkho.n se duur ho hu_ii niind aa.Nkho.n se duur
mere saathii Gam kii choT se huaa dil kaa shiishaa chuur
Azeez Kashmiri
MERE / CHUUR
Posted: Wed May 18, 2005 12:36 pm
by najma
mire dil ki dhaRkanoN se tira Gham hay aashkaara
keh yehii Gham-e-muqaddas, mire dil ka hay sahaara
najma
keh/ sahaara
Posted: Fri May 20, 2005 1:28 am
by Hashmat Usmani
salaam Hamsheerah saaHiba,
kaii dinoN se lafz-e-"sahaara" par she'r na mila so Had darja majboori fil_badeeh yeh she'r kahnaa paRaa lol
sahaaraa mil gayaa hotaa, agar terii moHabbat mil gaii hotii
kinaara mil gayaa hotaa, agar terii 'inaayat mil gaii hotii
Hashmat usmani
KINARA / HOTI
Posted: Fri May 20, 2005 2:03 am
by najma
baat niklii, to baat chal niklii
baRh gaee baat, baatoN baatoN meiN
najma
Posted: Fri May 20, 2005 2:10 am
by najma
kar gaee kaam pehlii fursat meiN
haey wo ik nazar, mohabbat-paash
najma
haey/mohabbat-paash
baRh
Posted: Fri May 20, 2005 2:12 am
by Abdullah Nazir
baRhgaiee Hasrat-e-deedar tiri furqat meiN
Aur tuu hei kei ke miri dil-shani per qaayim.
Nazir.
Re: baRh
Posted: Fri May 20, 2005 2:14 am
by najma
WEBMASTER wrote:
baRhgaiee Hasrat-e-deedar tiri furqat meiN
Aur tuu hei kei ke miri dil-shani per qaayim.
Nazir.
she,r to haey/mohabbat-paash se shuru hona chahiye tha
:P
Posted: Fri May 20, 2005 2:25 am
by najma
subh hoti hay shaam hoti hay
umr yuunhii tamaam hotii hay
umr/ hay
Posted: Fri May 20, 2005 4:26 am
by Hashmat Usmani
'umr jalvoN meN basar ho, ye zaruurii to nahiiN
har shab-e-Gham kii saHar ho, ye zaruurii to nahiiN
Khaamosh Dehlavii
Posted: Fri May 20, 2005 12:49 pm
by najma
sara_j wrote:har shaakh-e-gul ko dhoonda, dekhi kali kali mein
lekin teri adayein paayi nahi kisi mein
lekin / mein
kahaaN laa ke mara hay aap ne bhi sara j sahibaaaaaaaaaaaaa!!!!!!!!!!!!
ab aap hi is pe dijiye
koee she,r
mujhe to koee esa yaad naheeN jo
''lekin'' ya '' meiN'' se shuruu, hota ho
:P
Posted: Sat May 21, 2005 1:21 am
by Hashmat Usmani
Posted: Sat May 21, 2005 1:29 am
by najma
sara jeeeeeeeeeeeeeee
ab fil-badee, jo keh sakii keh diya
aur aap par bohat gussa bhi aarahaa hay==========
tamaatar :P
lekin tumhii batao k lik.kheN to kya likheN
tum ne to aazmaane ka Thekaaa hi le liya
najma
Posted: Sat May 21, 2005 1:31 am
by Hashmat Usmani