Page 22 of 44
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:48 am
by Daanish
aata hai jab chaman meiN naazuk nihaal mera
har shaaKh-e-gul ne apne sar ko jhuka diya--Mus'Hafi
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:54 pm
by Daanish
har dum fuzooN haiN kaj_rawiyaaN rozgaar ki
kuchh seekhta chala hai rawish mere yaar ki
--Syed Mohd. Meer 'Asar'
pasandeedah
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:58 pm
by Abdullah Nazir
"dil ke phapoule jal uThe seene ke daagh se
is ghar ko aag lag gayi ghar ke charaagh se"
Shaayer: naamaAloom
Nazir.
Posted: Mon Aug 14, 2006 3:49 pm
by ummassad
jaatey huye kahtey ho qhiyamut ko milain gee
kiya khoob qhiyamut ka hey goya koi din aour
Posted: Tue Aug 15, 2006 2:01 am
by Daanish
pasandeedah
kam bolna adaa hai har chand par na itna
mund jaaye chashm-e-a'ashiq tau bhi woh lab na khhole--Sauda
pasandeedah
Posted: Tue Aug 15, 2006 12:53 pm
by Abdullah Nazir
"waah re andaaz o naaz Allah re kibr o ghuroor
jaan yaaN jaati rahee waaN naaz maAshooqaanah thaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Tue Aug 15, 2006 2:28 pm
by sanakhan
Na ji bar ke deka na kuch bat ki
bari arzoo ti mulaqat ki
Posted: Tue Aug 15, 2006 4:09 pm
by hassan_bashir
Sana saaHiba,
is bazm meiN ham aap ko tah-e-dil se khushaamadeed kehte haiN!
ummid hai ke aatee raheN gii.
bohat aarazuu thee galee kee tiree
so yaaN lahuu meiN nahaa kar chale
pasandeedah
Posted: Wed Aug 16, 2006 4:34 am
by Abdullah Nazir
"Hasrat hee bousa-e-lab-e-sheereeN kee rehgayi
meeThaa nah moNh ko tere namak-khwaar ne kiyaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Wed Aug 16, 2006 11:16 am
by Daanish
'pasandeedah'
kehta nahiN maiN arsh pe ai naala ja pahunch
kaanoN talak tau uske tuu ai naarasa pahunch
--Khwaja Ahsanullah 'Bayaan'
pasandeedah
Posted: Wed Aug 16, 2006 2:36 pm
by Abdullah Nazir
"nahiN begaanagi achchi rafeeq-e-raah-e-manzil se
theharjaa ai sharar aakhir tou ham bhee miTne waale heiN".
Shaayer: Iqbaal
Nazir.
Posted: Wed Aug 16, 2006 3:09 pm
by Daanish
'pasandeedah'
fitnay se keh rahi hai tiri shoKhi-e-Khiraam
"maiN sair ko chaluN mira daaman sambhaal tuu"
--Mus'Hafi
Posted: Wed Aug 16, 2006 7:12 pm
by hassan_bashir
mohabbat ke liye kuch khaas dil makhsuus hote haiN
yeh voh naghma hai jo har saaz pe gayaa nahiN jaata
Posted: Thu Aug 17, 2006 4:17 am
by Daanish
'pasandeedah'
hazaar kaam mazay ke haiN 'DaaGh' ulfat meiN
jo log kuchh nahiN karte kamaal karte haiN
Posted: Thu Aug 17, 2006 3:46 pm
by hassan_bashir
shoq barehna~pa chalta tha aur raste pathreele the
ghiste ghiste ghis gaye aakhir kankar jo nokeele the