Page 22 of 29
???
Posted: Sun Aug 06, 2006 4:07 am
by Abdullah Nazir
raah-e-waafaa meiN barq o sharar kis shumaar meiN
Loo kyaa hei aur gard-e-safar kis shumaar meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Aug 08, 2006 11:43 pm
by Maha
ہنگامئہ حسرت ہے یا شورش ارماں ہے
یا رب یہ مرا دل ہے یا بزم خراباں ہے ؟
Posted: Wed Aug 09, 2006 3:24 am
by ummassad
apna deewana banaya mujhey hoota tuney
kyun khird mand banaya na banaya hota
Posted: Thu Aug 10, 2006 11:46 am
by hassan_bashir
kyaa jaane likh diyaa kyaa use izteraab meiN?
qaasid kii laash aaii hai Khat ke javaab meiN!
???
Posted: Sat Aug 12, 2006 7:29 am
by Abdullah Nazir
WaAda-e-vaSl jou karte hou sataate kiyuN hou
aur deewaane ko deewaanah banaate kiyuN hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Aug 12, 2006 4:42 pm
by ummassad
yeh dastoor.e. zuban bandi hey kysa teyeri mehfil main?
yahan tuu baat kerney ko tarestii hey zuban mairey
???
Posted: Tue Aug 15, 2006 12:39 pm
by Abdullah Nazir
kis TaraH kaakul-e-paichaaN ko tiri suljhaataa
jabkeh furSat nah mili apne masaayil se mujhe.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Tue Aug 15, 2006 1:03 pm
by Abdullah Nazir
Shaeeh-e-yaar kahaaN chup gayi hei aankhaoN se
baraah-e-deeda-e-tar aati jaati rehti hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
???
Posted: Wed Aug 16, 2006 2:50 pm
by Abdullah Nazir
Azaab-e-qatlgah-e-aarzoo khudaa kee panaah
nah karte aah o fughaaN ham tou aur kyaa karte.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Aug 17, 2006 3:53 pm
by hassan_bashir
tere hazoor tujhse Khafaa ho ke jaaYe kaun?
zaKhm-e-dil-e-tabah pe nashtar lagaaYe kaun?
swalia
Posted: Thu Aug 17, 2006 8:17 pm
by ummassad
swalia
Posted: Fri Aug 18, 2006 11:22 am
by Daanish
'sawaaliyah'
mishgaaN bhi beh gayiiN mire rone se chashm ke
sailaab-e-mauj maare, tau Thehre hai koi Khas?--Meer
???
Posted: Fri Aug 18, 2006 12:05 pm
by Abdullah Nazir
khauf-e-ruswaayi hei maiN tujhko buraa kaise kahooN
ghar se baahar bhee chali jaati heiN ghar kee baateN
Shaayer: Abdullah Nazir.
a
Nazir.
???
Posted: Fri Aug 18, 2006 1:01 pm
by Abdullah Nazir
apni hee chashm-e-karam kaa nah Dhadouraa peeTou
ham faqeeraoN se mili tum ko duAaa kyaa kyaa kuch.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Aug 18, 2006 2:00 pm
by Daanish
dosti us sanam-e-aafat-e-iimaaN se kare
'Momin' aisa bhi koi dushman-e-iimaaN hogaa?