Page 22 of 43

Posted: Sun Jul 10, 2005 6:06 pm
by PK Swami
kis ghazab meiN hai, kis aafaT meiN hai, kis mushkil meiN hai
dam meraa khanjar meiN hai khanjar kaf.e qaatil meiN hai

PK Swami

Posted: Mon Jul 11, 2005 10:06 pm
by RAUSHNEE
koi nam-o-nishan pochay tu ay qasid bata dena
takhalus daagh hai aur ashiqon k dil mein rehta hon

Posted: Tue Jul 12, 2005 2:42 am
by Hashmat Usmani
lete hii dil jo, 'aashiq-e-dil_soz kaa, chale
tum aag lene aaye the, kia aaye, kia chale


Ustaad Ibraaheem Zauq

Posted: Tue Jul 12, 2005 2:38 pm
by PK Swami
asar ai aaH.e sozaaN, kuchh na kuchh apnaa dikha denaa
na aayeN vo to ek din, aaG hee ghar meiN lagaa denaa

PK Swami

Posted: Tue Jul 12, 2005 3:59 pm
by RAUSHNEE
ishq per zoor nahi hai yeh woh atish Ghalib
jo lagaye na lagay aur bujhaye na bujhay

javaab

Posted: Tue Jul 12, 2005 7:13 pm
by Abdullah Nazir



aatish-e-ishq meiN jal jaaye nah hastii meri

aankh se ashk bahaataa hooN bujhaane ke liye.



Nazir.


Posted: Wed Jul 13, 2005 1:24 am
by PK Swami
aaNsoo rawaaN haiN zulf.e siyaH ke khayaal meiN
moTee piro rahaa hooN tere baal baal meiN

PK Swami

Posted: Wed Jul 13, 2005 2:14 am
by Hashmat Usmani
jab zabt-e-Gham dil pe na, jaanaaN! koii rahaa
motii sajaa liye haiN sar-e-mizgaaN kabhiikabhii


A'ijaaz Aslam

Posted: Wed Jul 13, 2005 6:02 pm
by PK Swami
ye bhegee bhegee fijaa.e gulshan, tamaam maaHol shabnamee saa
lipaT ke royaa hai raat pholooN se, koi dewanaawaar shayad !

PK Swami

Posted: Wed Jul 13, 2005 6:59 pm
by Hashmat Usmani
dil ke sehraa meN koii aas kaa jugnuu bhii nahiiN
itnaa royaa huuN k ab aaNkh meN aaNsuu bhii nahiiN


Noor Bijnaurii

Posted: Fri Jul 15, 2005 9:39 pm
by RAUSHNEE

dil he tu hai na sang-0-khisht dard say bhar na aye kiyon
royen gay hum hazar bar koii hamein sateye kiyon ?

Posted: Sun Jul 17, 2005 4:25 pm
by PK Swami
dil kee bahaar kyaa hai, gham se figaar honaa
zakhm.e jigar ke gul ko, hajat naheeN rafoo kee


PK swami

javaab

Posted: Mon Jul 18, 2005 3:58 am
by Abdullah Nazir



ik zakhm hei rafugar, saAy-e-rafoo hou jiski

seena hei saaraa chalni, meHboob ke karam se.



Nazir.


Posted: Sat Jul 23, 2005 10:28 pm
by RAUSHNEE

ahad-e-vafaa aur tark-e-muhabbat jo chaaho so aap karo
apane bas kii baat hii kyaa hai, hamase kyaa manavaaoge

Posted: Tue Jul 26, 2005 2:51 am
by Hashmat Usmani
kahaa thaa kis ne ke aHd-e-vafaa karo us se
jo yuuN kiyaa hai to phir kiuN gilaa karo us se


AHmad Faraaz