Page 23 of 44
pasanddida
Posted: Thu Aug 17, 2006 10:24 pm
by ummassad
pasandidaa
Posted: Fri Aug 18, 2006 11:10 am
by Daanish
'pasandeedah'
kis muNh se phir tu aap ko kehta hai ishq baaz
ai ru_siyah tujh se tau yeh bhi na ho saka--Sauda
pasandeedah
Posted: Fri Aug 18, 2006 12:26 pm
by Abdullah Nazir
"sanbhalne de mujhe ai naaumeedi kyaa qiyaamat hei
keh daamaan-e-khayaal-e-yaar chooTaa jaaye hei mujh se."
Shayer: Mirza Ghalib.
Nazir.
Posted: Fri Aug 18, 2006 2:05 pm
by Daanish
aata hai Khwaab meiN bhi tiri zulf ka Khayaal
be taur Ghhir gaye haiN pareshaaniyoN meiN hum--Momin
Posted: Sat Aug 19, 2006 3:27 am
by ummassad
jaty huy kahty ho qiyamat ko milain keu
kiya khoob qiamat ka hey goya koi din aour
pasandeedah
Posted: Sat Aug 19, 2006 2:56 pm
by Abdullah Nazir
"houaa jo din tou houaa usko paas-e-ruswaayi
jo raat aayi tou phir neend kaa bahaanah houaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
pasand
Posted: Sat Aug 19, 2006 5:31 pm
by ummassad
pasand
Posted: Sun Aug 20, 2006 2:01 am
by Daanish
'pasandeedah'
sub^H dum vasl ka wa'da thha yeh Hasrat dekho
mar gaye hum dum-e-aaGhaaz-e-seHer aaKhir-e-shab
--Momin
Posted: Sun Aug 20, 2006 8:26 am
by zmufti
ye udaasiyo.n ke mausam kahii.n raayegaa.N na jaaye.N
kisii zaKhm ko kuredo kisii dard ko jagaao
Posted: Sun Aug 20, 2006 12:18 pm
by Daanish
'pasandeedah'
gum dil-e-veHshi hu'a a'alam nazar meiN hai siyah
sham'a lekar zarrah zarrah Khaak-e-seHraa dekhiye
pasandeedah
Posted: Mon Aug 21, 2006 6:23 am
by Abdullah Nazir
"waa houe hergiz nah wo uqde jo thay taqdeer ke
saAy karte karte naakhun ghis gaye tadbeer ke".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Mon Aug 21, 2006 1:41 pm
by Daanish
'pasandeedah'
mujh se poochhe hai bigaR kar woh Haqeeqat meri
kuchh tau ai beKhabari baat banaane de mujhe--Jurra't
Posted: Tue Aug 22, 2006 10:22 am
by zmufti
ab jo is shahr ki taqdeer ho, maiN to logo
dar-o-deewaar pe hasrat ki nazar kar aayaa
Posted: Tue Aug 22, 2006 4:20 pm
by Daanish
waaye nadaani ke waqt-e-marg yeh caabit hu'a
Khwaab thha jo kuchh ke dekha, jo sunaa afsaana thha
--Khwaja Meer Dard
Posted: Tue Aug 22, 2006 7:29 pm
by zmufti
hath uthaaye haiN magar lab pe dua koi nahiN
kee ibadat bhee to vo jis kee jaza koi nahiN