Page 23 of 65
"hijr"
Posted: Thu May 26, 2005 3:27 am
by Abdullah Nazir
jijr kii shab tou wo maah rukh tou milaa nah mujhse kisi TaraH
miraa dil fasarurdah rahaa bahut miri aankh se thaa ravaan luhoo.
"wao"
Nazir.[/i]
laakh
Posted: Thu May 26, 2005 3:51 am
by Abdullah Nazir
laakh samjhaooN magar tum nah kabhi maanouge
yooN hii takraar meiN yeh raat guzar jaayegi.
yooN / jaaegi
Nazir.
Posted: Thu May 26, 2005 5:06 am
by Hashmat Usmani
yuuN unkii bazm-e-KhaamoshiyoN ne kaam kiyaa
sab ne merii muHabbat kaa ehtaraam kiyaa
Sa'eed Raahii
SAB / KIYAA
Posted: Thu May 26, 2005 8:59 am
by najma
sab kuch khudaa se maang liya tujh ko maangkar
uThte naheeN haiN haath mire, is duaa ke ba,d
uThte/ba,d
Posted: Thu May 26, 2005 11:55 am
by najma
wo to unka zarf tha, aur ye hamara hauslah
zulm wo karte rahay, ham marhaba kehte rahay
najma
zulm/rahay
Posted: Thu May 26, 2005 9:02 pm
by najma
thii aaas hameN jin se , wohii ehd meiN apne
karte haiN inhiraaf, baRee bhool hogaee
karte/hogaee
Posted: Sat May 28, 2005 3:37 am
by Hashmat Usmani
thaa muste'aar Husn se uske jo nuur thaa
Khurshiid meN bhii usii kaa zarraa-e-zahuur thaa
Meer Taqii Meer
Khursheed / thaa
samjhe
Posted: Sun May 29, 2005 8:21 pm
by Abdullah Nazir
samjhe thay uske lab pah nah houngi shikaayateN
zaalim ne ham se wadah kiyaa aur mukar gayaa.
(zaalim / gayaa)
Nazir.
Posted: Sun May 29, 2005 8:28 pm
by najma
gaya, to saath mirii rooh ka dhuwaaN le-kar
khayal-e-yaar ne choRa na saath jeete jee
nafis ahmad siddiqui
Posted: Mon May 30, 2005 9:49 pm
by najma
ye na thi hamari qismat, keh visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte, yehii itizaat hota
agar/hota
Posted: Mon May 30, 2005 10:22 pm
by najma
kabhi kabhi mire dil meiN khayaal aataa hay
keh jaise tujh ko banaya gaya hay mere liye
keh/liye
Posted: Tue May 31, 2005 12:11 pm
by najma
haaey ray insaan ki majbooriyaaN
paas reh ka bhi haiN kitni duuriyaaN
paas/duuroyaaN
Posted: Wed Jun 01, 2005 2:18 am
by Hashmat Usmani
huye haiN tum pe 'aashiq ham, bhalaa maano, buraa maano
yeh chaahat ab na hogii kam, bhalaa maano, buraa maano
YEH / MAANO
Posted: Wed Jun 01, 2005 12:15 pm
by najma
aaee to har balaa, magaraa aa ke Tal gaee
najma! ye sab kisii kiduaaoN ka hay acar
najma/acar
ranj
Posted: Fri Jun 03, 2005 11:19 am
by Abdullah Nazir
ranj o gham se raah-e-ulfat mein mafar mumkin nahiN
Phir bhii tum ko dekhte hii muskuraadete heiN ham.
(phir /ham)
Nazir.