Page 23 of 43
Posted: Wed Jun 08, 2005 10:35 pm
by shahnaz zafar
sab kuch mai bhula baitha tha hangaamey jonoo mai
ab hosh mai aaya hoon to ghar dhoond raha hoon
Posted: Wed Jun 08, 2005 10:37 pm
by najma
qafas meiN thay, to har-ik shaakh intizaar meiN thii
qafas se nikle,to ab aashiyaaN naheeN milta
najma
javaab
Posted: Thu Jun 09, 2005 12:42 am
by Abdullah Nazir
samajh rahe thay ke dunyaa hei apne qaaboo meiN
magar wo but hei ke uskaa nishaaN nahiN miltaa.
Nazir.
Posted: Thu Jun 09, 2005 1:42 am
by najma
dair-o-haram ki raah se dil bach gaya magar
terii galii ke moR pe saudaaee ban gaya
saghar
Posted: Thu Jun 09, 2005 2:47 pm
by Taskeen
ye soch lo ab aaKhri saya hai muhabbat
is dar se uthoge to koyi dar na milegaa
Posted: Thu Jun 09, 2005 6:36 pm
by najma
gar ijazat ho to qismat aazmaa kar dekh leiN?
aap hi ke sang-e-dar pe sir jhuka kar dekh leiN?
najma
javaab
Posted: Sat Jun 11, 2005 3:05 am
by Abdullah Nazir
dil khulaa, aankheN khuli heiN, dar khulaa
chouR jaa khaT unkaa naamah bar khulaa.
Nazir.
Posted: Sat Jun 11, 2005 3:08 am
by najma
nazar aatii naheeN soorat koee tark-e-ta,alluq kii
keh ab to saathlay aataa hay nama-bar qalam kaGhaz
najma
Javaab
Posted: Sat Jun 11, 2005 7:29 am
by Abdullah Nazir
chalo achcha houaa, ab guftagu kii raah nikli hei
zaraa maiN bhii tou dekhooN kal kahaaN tak baat phonche gi.
Nazir.
Posted: Sat Jun 11, 2005 12:07 pm
by najma
baat niklii to baat chal niklii
baR h gaee baat, baatoN baatoNmeiN
najma
Posted: Sat Jun 11, 2005 8:24 pm
by najma
shaairii jiska naam hay najma!
waqt ki daastaan hotii hay
najma
Posted: Sun Jun 12, 2005 3:10 am
by shahnaz zafar
kitabon kii dokaan kholi hai mainey
bahot sastey mai zever baichta hoon
Posted: Sun Jun 12, 2005 8:54 am
by najma
shahnaz zafar wrote:kitabon kii dokaan kholi hai mainey
bahot sastey mai zever baichta hoon
waah
khuda rak,khay salamat unko, jin ke faiz ne najma!
mohabbat ki khalish de-kar kitab-e- shaairii dedii
najma
javaab
Posted: Mon Jun 13, 2005 1:59 am
by Abdullah Nazir
hamaare darmiyaaN kuch faasle Taiy hou nahiN paaye
rah-e-ulfat meiN yooN hii gaamzan rehnaa zaroori hei.
Nazir.
Posted: Mon Jun 13, 2005 9:29 am
by najma
maslehat thii jo hogaee khaamosh
warna alfaaz ki kamii hay kahaaN
rabiya siddiqui sham,a