Page 24 of 44

pasandeedah

Posted: Wed Aug 23, 2006 3:38 am
by Abdullah Nazir



"beemaar tandurust hou dekhe jou rooy-e-yaar

kyaa chaashni hei sharbat-e-deedaar ke liye".


Shaayer: Haider Ali :aatish:.


Nazir.


Posted: Wed Aug 23, 2006 4:51 am
by ummassad
fard khaim rabt.e. milat se hey tanha kuch nahin
moouj hey derya main aour beroon.e.derya kuch nahin.

Posted: Wed Aug 23, 2006 6:46 am
by Daanish
'pasandeedah'

aahoN ne meri Khirman-e-hasti jalaa diya
kya muNh dikhaunga tiri barq-e-nazar ko maiN--AsGhar

Pasandeedah

Posted: Wed Aug 23, 2006 4:46 pm
by Abdullah Nazir



"le saans bhee aahistah ke nazuk hei bahut kaam

aafaaq kee is kaargah-e-sheesha-gari kaa".


Shaayer: Meer Taqi Meer


Nazir.


Posted: Thu Aug 24, 2006 3:17 am
by Daanish
Haasil-e-ulfat na dekhaa juz shikast-e-aarzoo
dil ba dil paiwasta goya yak lab-e-afsos thha--Ghalib

Posted: Thu Aug 24, 2006 4:20 pm
by PK Swami
hamne tanhaaie ko mahboob banaa rakhaa hai
raakh ke Dher meiN sholoN ko chhupaa rakhaa hai !



PK Swami

Posted: Fri Aug 25, 2006 2:15 am
by Daanish
'pasadeedah'

aablay paaoN ke kya tuu ne hamaare toRay
Khaar-e-seHraa-e-junooN! arsh ke taare toRay
--Hyder Ali Aatish


pasand

Posted: Fri Aug 25, 2006 2:41 am
by ummassad
pasand

pasandeedah

Posted: Fri Aug 25, 2006 4:09 am
by Abdullah Nazir



"bousa-e-innab-e-lab keeje nah Aashiq se Azees

touRnaa achchaa nahiN hei khaaTir-e-ranjoor kaa"

Shaayer: :ameer: meenaayi


Nazir.


Posted: Fri Aug 25, 2006 12:36 pm
by hassan_bashir
apanii galii meiN mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se Khalq ko kyuN teraa ghar mile?!

Posted: Sat Aug 26, 2006 1:43 am
by ummassad
apni wafaa ph aap pashemaan hain hum mager
unki jafa pey unko pashemaan nh ker sakey

Posted: Sat Aug 26, 2006 2:51 am
by Daanish
jis chashm ne mujh taraf nazar kii
us chashm ko maiN pur_aab dekhaa--'Sauda'

pasandeedah

Posted: Sat Aug 26, 2006 4:16 am
by Abdullah Nazir



"gaah miri nigaah-e-tez cheergayi dil-e-vujood

mujgaah ulajh ke rehgayi mere tavahhumaat meiN".


Shaayer: Iqbal


Nazir.


Posted: Sat Aug 26, 2006 3:27 pm
by Daanish
tasavvur se kisi ke maine kii hai guftagu barsoN
rahi hai ek tasweer-e-Khayaali ru ba ru barsoN
hu'a mehmaan aa kar raat bhar woh sham'a_ru barsoN
raha roshan mire ghar ka chiraaGh-e-aarzoo barsoN--Aatish

pasandeedah

Posted: Sat Aug 26, 2006 3:53 pm
by Abdullah Nazir



"is rouz khul hee jaayegaa un per mazaaq-e-ishq

ham dil kee baat dil se kahaaN tak chupaayenge".


Shaayer: seemaab akbaraabaadi


Nazir.