Page 24 of 29
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:30 am
by Daanish
'sawaaliyah'
zardi-e-ruKh, rona har dum ka, shaahid do jab aise hoN
chhahat ka insaaf karo tum, kyoN kar hum inkaar kareN
-Meer
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:34 am
by Abdullah Nazir
tum kahaaN sunte hou ashkaoN ke Tapakne kee Sadaa?
MaiN bhee kartaa hooN kahaaN deeda-e-tar kee baateN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Aug 24, 2006 3:32 am
by Daanish
'sawaaliyah'
isi fareb ne maara, ke kal hai kitni door
is aaj kal meiN abas din gaNwaaye haiN kya kya?
--Yaas Yagaana
Posted: Thu Aug 24, 2006 3:53 pm
by PK Swami
milaa na paaTh aur namaaz se jo, milaa na tiraTh se aur haj se
vo aik sajde meiN mil gayaa hai, ye raaH kyaa mukhtsar naheeN hai ?
kyoN dair.o.kabaa meiN usko DhoondooN, kyoN laa.makaaN ko karooN muqayyad
khudaa vo hargiz khudaa naheeN hai, jo udhar to hai aur idhar naheeN hai ! -- Darshanlal Barq
PK Swami
Posted: Fri Aug 25, 2006 12:24 pm
by hassan_bashir
bohat nazdeek aati jaa rahi ho
bichhaRne ka iraada kar liya kya?
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:26 am
by Daanish
'sawaaliyah'
paas-e-naamoos-e-ishq thha warna
kitnay aaNsoo palak tak aaye thhe?
--Meer
???
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:33 am
by Abdullah Nazir
ghaur kiyuN karte nahiN apne chalan per SaaHib
chaahne waale peh ilzaam lagaate kiyuN hou.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:38 am
by Daanish
karte kis muNh se ho Ghurbat ki shikaayat Ghalib
tum ko bemehri-e-yaaraan-e-watan yaad nahiN?
???
Posted: Sat Aug 26, 2006 4:11 am
by Abdullah Nazir
zabH karke mujhe wo poochte heiN
kyaa bharousah hei jaan jaane tak?.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:36 pm
by Daanish
'sawaaliyah'
nigaah-e-Husn ka Husn-e-talab hai jaan-e-umeed
umeed aisi, tau phir kyoN na jaan de koi--Yaas Yagaana
???
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:48 pm
by Abdullah Nazir
kaheeN maiN khalwat o jalwat kaa raazdaaN tou nahiN
nah jaane tujh se mujhe itnaa pyaar hei kab se.
Shaayer: Abdullah Nazir..
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 6:08 pm
by PK Swami
inaaN kee sabr.o.shukr se hotee hai jaaNwaree
daur.e falak se garche kisi ko mafar naheeN
din raat sabr.o.shukr se hai intzaam.e khalq
ye donoN mehr.o.maaH kahaaN jalwaagar naheeN ?
PK Swami
Posted: Sun Aug 27, 2006 2:52 am
by Daanish
'sawaaliyah'
saaya mera, mujh se micl-e-dood bhhage hai 'Asad'
paas mujh aatish_bajaaN ke, kis se Thhehra jaaye hai?
--Ghalib
Posted: Sun Aug 27, 2006 4:54 pm
by Daanish
'sawaaliyah'
maiN, aur bazm-e-mai se yuN tashna kaam aaoN
gar maiN ne ki thhi tauba, saaqi ko kya hua thha?--Ghalib
???
Posted: Mon Aug 28, 2006 2:00 am
by Abdullah Nazir
kyaa sukooN deeda-e-giryaaN ko milaa roukar bhee
ham tire paas nahiN haaye tire houkar bhee.
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.