Page 24 of 65
Posted: Fri Jun 03, 2005 12:58 pm
by najma
phir aseeroN meiN nazar aate haiN aacaar-e-junooN
aur kuch ooNchhi zar deeaawr-e-zindaaN kijiye
najma
"aur"
Posted: Fri Jun 03, 2005 5:54 pm
by Abdullah Nazir
aur ik miSra-e-be-beHr ne jab Tanz kiyaa hei mujh per
dekhtaa hooN ke nahiN meraa qalam qaaboo meiN.
(dekhtaa / meiN)
Nazir.
Posted: Fri Jun 03, 2005 6:42 pm
by najma
dekhte dekhte baRh jaati hay gulshan ki bahaar
deeda-e-nagis-e-shahla ko na samjho ahwal
mohsin
deedah/ahwal
Posted: Sun Jun 05, 2005 4:34 am
by Hashmat Usmani
deeda e tar mujhe yaad aayaa
ek sail-e-ravaaN yaad aayaa
Hashmat Usmani
EK / AAYAA
Posted: Sun Jun 05, 2005 10:52 am
by najma
aisaa aalam ho, keh saakit ho zamana sara
dil ko dil ki na khabar ho, to ghazal hotii hay
najma
Posted: Sun Jun 05, 2005 1:43 pm
by najma
ba,d muddat ke khile daaman-e-ummeed ke phool
der ke ba,d baharoN pe nikhaar aya hay
nafis ahmad siddiqui
der/hay
"aas"
Posted: Mon Jun 06, 2005 1:04 pm
by Abdullah Nazir
]b]
[2]aas kaa daaman chooT rahaa hei wada nibhaaou jaldi se
Toot nah jaayeN saare bandhan, kal aajaaou jaldi se.[/u]
Toot / se
Nazir.
[/b]
Posted: Mon Jun 06, 2005 2:06 pm
by najma
TooT jaata hay sheesha-e-dil bhii
koee ummeed TooT jaane se
najma
koee/se
aa'eenah
Posted: Tue Jun 07, 2005 10:07 am
by Abdullah Nazir
aa-ieenah khaane meiN dhundlaagaiee terii soorat
warnah taktii raheeN tujhko tou baraabar aankheiN.
warnah / aankheN
Nazir.
Posted: Tue Jun 07, 2005 6:21 pm
by najma
aaNkh dar par, dil pareshaaN, ruuh waqf-e-intizaar
is-tarah to neen ko merii na weeraaN kijiye
najma
is-ratah/kijiye
Posted: Wed Jun 08, 2005 8:52 am
by najma
fil-badee,
hay taqaza ye waqt ka najma
waqt ke saath saath hi rahiyye
najma
waqt/rahiyye
Posted: Wed Jun 08, 2005 10:42 pm
by shahnaz zafar
raheynge hamsafar e waqt ka chalan ban ker
kabhee ghubaar e beyaanbaan kabhee chaman ban ker
Posted: Wed Jun 08, 2005 10:43 pm
by najma
kabhii kabhi mire dil meiN khayaal aataa hay
keh jaise tujhko banaya gaya hay mere liye
keh/liye
"keh"
Posted: Thu Jun 09, 2005 12:55 am
by Abdullah Nazir
keh jaise tuu hei makeeN mere khaana-e-dil meiN
jahaaN gulaoN meiN sajaayaa gayaa hei mere liye.
( jahaaN / liye )
Nazir.
Posted: Thu Jun 09, 2005 1:29 am
by najma
jahaaNmeiN aata hay jo giryah-o-fuGhaaN lekar
wo kya karega bhalaa, umr-e-jaawidaaN lekar
najma
wo/lekar