Page 24 of 43

Posted: Tue Jun 14, 2005 3:48 am
by shahnaz zafar
hai koii baat jo chup hoon
warna kaya baat kar nahee atii

Posted: Tue Jun 14, 2005 12:02 pm
by najma
shikwa-saraaiyyoN pe haiN paabandiyaaN bohat
harf-e-dua bhi lab pe na laaooN to kya karooN
najma

Posted: Tue Jun 14, 2005 5:06 pm
by shahnaz zafar
aaj kal ke raaston kii be yaqeeni dekh ker
kon hai jismai safar ka hosla rah jaiga

Posted: Tue Jun 14, 2005 7:09 pm
by najma
shahnaz zafar wrote:aaj kal ke raaston kii be yaqeeni dekh ker
kon hai jismai safar ka hosla rah jaiga
kash-ma-kash meiN hooN, safeene ko kidhar le jaaooN
kabhi sahil, kabhi dhaaroN ke payaam aate haiN
najma

Posted: Thu Jun 16, 2005 11:32 pm
by shahnaz zafar
sahil khaomsh tha ke koii haadsa hua
kuch log keh rahe they samander mai kuch na tha

Posted: Thu Jun 16, 2005 11:40 pm
by najma
jaa ba jaa seepiyaaN saahil pe na bikhrii hoteeN
apnay aapay meiN jo be-tab samundar hotay
najma

javaab

Posted: Fri Jun 17, 2005 3:58 am
by Abdullah Nazir



khaak meiN ham nah milaate kabhii ashkaoN ke guhar,

apne seenaoN meiN bhii aiy kaash ke paththar houte



Nazir.


Posted: Fri Jun 17, 2005 11:57 am
by najma
umr bhar lehroN se Takraate rahay haiN ham-log
gar samundar meiN uter jaate, samundar hotay
najma

Posted: Sun Jun 19, 2005 5:38 pm
by najma
apnay ghar ki khabar naheeN tumko
sare aalam ki baat kartay ho?
nafis ahmad siddiqui

Posted: Mon Jun 20, 2005 6:29 am
by Mahtab Qadr
ba aiNhima zauq e aagahi ,haaye re pasti e bashar
saray jahaaN ka jayeza , apne jahaN se be khabar

Posted: Mon Jun 20, 2005 8:32 am
by najma
aasmaanoN pe takhayyul ka guzar rakhtii hooN
dil ki batoN ko jo samjhe, wo nazar rakhtii hooN
najma

javaab

Posted: Tue Jun 21, 2005 12:36 am
by Abdullah Nazir
[color=blue[


AankhouN aankhaouN meiN sunaatedtaa hooN baateN dil kii

kyaa kahooN kaise guzarjaati heiN baateN dil ki.


[/color]
Nazir.

[/u]

Posted: Tue Jun 21, 2005 1:12 am
by najma
har aaine pe na kar e,tibaar, deeda-e-shauq
nazar ka kya hay, ye akcar fareb khaatii hay
najma

Posted: Tue Jun 21, 2005 10:57 am
by Mahtab Qadr
kisi pe chaahe kabhi aitebaaar mat karna
ye aayina hai isaay be-wiqaar mat karna
Mahtab Qadr (filbadeeh)

Posted: Tue Jun 21, 2005 6:56 pm
by najma
zor kitna hay hawaoN meiN, ye dekhooN maiN bhii
ek nanhaa saa diya maiN ne jala ark,kha hay
najma