Page 25 of 44

Posted: Sat Aug 26, 2006 6:01 pm
by PK Swami
DhuaaN dil se uThe, cheHre pe aayee, noor ho jaaye
baRee mushkil aataa hai ye fan, aaHistaa , aaHistaa !

maiN aHle anjuman kee khilwate dil kaa mughannee hooN
mujhe peHchaan legee anjuman, aaHistaa aaHistaa !!


PK Swami

Posted: Sun Aug 27, 2006 2:56 am
by Daanish
'pasandeedah'

tum ko bhi hum dikhaayeN, ke majnooN ne kya kiya
fursat kashaakash-e-Gham-e-pinhaaN se gar milay
--Ghalib

Posted: Sun Aug 27, 2006 1:38 pm
by hassan_bashir
dushmanoN ke sitam kaa Khuaf nahiiN
dostoN kee vafaa se Darate haiN

Posted: Sun Aug 27, 2006 4:27 pm
by Daanish
'pasandeedah'

muddat se humeiN fikr thhi isbaat-e-dahan ki
uqda yeh hua jumbish-e-lab se tire Hal aaj
--Mus'Hafi


Posted: Sun Aug 27, 2006 6:07 pm
by zmufti
mirre sajdoN ki yaa Rab tishna kaami kiyoN nahiN jaaati
yeh kyaa be aitenaaii apne bande se khuda ho kar

Pasandeedah

Posted: Mon Aug 28, 2006 1:11 am
by Abdullah Nazir



"mushkil hei mere Ahd-e-muHabbat kaa TooTnaa

aiy bewafaa yeh teri wafaa kee qasam nahiN".


Shaayer: zauq


Nazir.


Posted: Mon Aug 28, 2006 7:34 am
by Daanish
'pasandeedah'

masnad-e-shaahi ki Hasrat hum faqeeroN ko nahiN
farsh hai ghar meiN hamaare chaadar-e-mehtaab ka
--Hyder Ali Aatish

Posted: Tue Aug 29, 2006 2:45 am
by Daanish
'pasandeedah'


Khumaar-e-balaa_nosh tuu aur tauba
tujhe zaahidoN ki nazar lag gayi hai

Posted: Tue Aug 29, 2006 5:26 pm
by PK Swami
dekhaa hai jab se unkee nazar ke khumaar ko
maanoos ho gayee hai tabeeat sharaab se !


PK Swami

Posted: Tue Aug 29, 2006 7:09 pm
by hassan_bashir
koee va'ada nahiN kiyaa lekin, kyuN tira intezaar rehtaa hai
be-vajah jab qaraar mil jaaye, dil baRa be-qaraar rehtaa hai

Pasandeedah

Posted: Wed Aug 30, 2006 12:37 am
by Abdullah Nazir



"sitam ke teer uske mere seene meiN bahut TooTe

kiyaa janaa hei mushkil farq ab dil aur paikaaN meiN".


Shaayer: Meer Taqi Meer.


Nazir.


Posted: Wed Aug 30, 2006 3:22 am
by ummassad
duniya ki nafratain mujhy khalash kergaiyn
aik pyer ki nazar merey kaasey main daliye.

Posted: Wed Aug 30, 2006 3:28 am
by ummassad
touheed ki amanat seeney main hey hamarey
aasan nahin mitana naam.o.nishan hamara

Posted: Wed Aug 30, 2006 5:21 am
by Daanish
sau pusht se hai pesh-e-aaba sipahgari
kuchh shayari zariy'e-e-izzat nahiN mujhe
--Ghalib

Posted: Wed Aug 30, 2006 4:25 pm
by zmufti
mai.n haath kii lakiire.n miTaane pe huu.N ba-zid
go jaanataa huu.N naqsh nahii.n ye sleT ke