Page 25 of 29

Posted: Mon Aug 28, 2006 3:58 am
by ummassad
aaj wan ser pe kafan bandhey huye jataa houn main
uzer merey qatal kerney main vo fermayengy kiyaa

Posted: Mon Aug 28, 2006 7:26 am
by Daanish
'sawaaliyah'

unheiN yeh fikr hai har dum, nayi tarz-e-jafaa kya hai?
humeiN yeh shauq hai, dekheN sitam ki intehaa kya hai?
Pt. Brij NaraiN Chakbast



Posted: Mon Aug 28, 2006 5:18 pm
by ummassad
kyun chamun main be sadaa misl.e.rum e shaabnum hey tuu?
lub kusha hoja sarood.e.but.e.aalum he tuu?

Posted: Tue Aug 29, 2006 2:52 am
by Daanish
'sawaaliyah'

'Dard' kuchh ma'loom hai, yeh log sab
kis taraf se aaye thhe, kidhhar chalay?
Khwaja Meer Dard


???

Posted: Tue Aug 29, 2006 4:47 am
by Abdullah Nazir



daaman-e-yaar hei bheegaa houaa ashkaoN se mire

abr-e-gham jaari hei barsaat kahaaN khatm houee.



Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Tue Aug 29, 2006 12:19 pm
by Daanish
'sawaaliyah'

chashm-o-dil-o-dimaaGh-o-jigar, sab ko ro rahe
is ishq-e-Khaana_soz ne kya kya dikhaaye daaGh?
Meer

???

Posted: Tue Aug 29, 2006 4:19 pm
by Abdullah Nazir



be-niyaazi bandha-parwar be-sabab hei kis liye

kiyuN churaate hou nazar kiyuN jaankar anjaan hou.



Shayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Sep 07, 2006 2:51 am
by ummassad
beniazi hud se guzri bandaperwar kab taluk
hum kahaingey hall.e.dil aor aap fermaingey kiya

Posted: Thu Sep 07, 2006 2:57 am
by Daanish
tanhaai hai, Ghareebi hai, seHraa hai, Khaar hai
kauN aashna-e-Haal hai, kis ko pukaariye?
--Aatish

Posted: Fri Sep 08, 2006 5:37 am
by Mayank
vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
mai.n kis se ruuTh sakuu.Ngii kise manaa_uu.Ngii
-Praveen Shaakir

Posted: Fri Sep 08, 2006 4:11 pm
by Daanish
'sawaaliyah'


kin HijaaboN se is ko paala thha
kyoN na ho waah re bashar ki talaash?
--DaaGh

Posted: Sat Sep 09, 2006 6:19 pm
by PK Swami
ilaahee aik dil aur uspe aaNkheN paaNch dushman kee ?
adaa kee, naaz kee, andaaz kee, ghamzaa kee, chitwan kee !!- Kushtaa


PK Swami

Posted: Sun Sep 10, 2006 3:22 am
by Daanish
'sawaaliyah'

yeh kya majaal ke hum tark-e-iltijaa karte
dahan ko sii bhi jo lete, nazar ko kya karte?
--Jigar

???

Posted: Sun Sep 10, 2006 4:36 am
by Abdullah Nazir



jitne hamraah thay wo bhool gaye ai Nazir

kaun suntaa hei bhalaa gard-e-safar kee baateN.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Sep 10, 2006 8:32 am
by Daanish
'sawaaliyah'

sun tau ai dil yeh barhami kya hai?
aaj, kuchh dard meiN kami kya hai?
--Jigar