Page 25 of 65
Posted: Thu Jun 09, 2005 2:50 pm
by Taskeen
woh maathe kaa matalaa ho ki hothon ke do misare
bachapan ki Gazal hi meri mehboob rahi hai
bachpan/hai
Posted: Thu Jun 09, 2005 6:34 pm
by najma
hay kaisa tazaad tabee,at meiN ham dunya -daaroN ki khawar!
taqdeer pe eemaaN hay lekin, tadbeer pe takyaa hay phir bhi
khawar qureshi
taqdeer/bhi
"ghar"
Posted: Fri Jun 10, 2005 6:32 am
by Abdullah Nazir
ghar kahaaN dasht-navardi meiN tou saayah nah milaa
mujh se aavaarah ko kyaa Hasrat-e-manzil hougi.
(mujh / hougi )
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Fri Jun 10, 2005 1:30 pm
by najma
tum ne nazar bachaa ke bhi dekhaa naheeN mujhe
merii nigaah-e-shauq to tum par lagii rahii
najma
merii/ rahii
Posted: Sat Jun 11, 2005 1:27 am
by najma
naheeN rah-bar ki kuch parwaa hameiN , sadqay tasawwur ke
keh aaN kheN band karleeN, aur tire kuuchay meiN jaa-niklay
keh/janiklay/niklay
Posted: Sat Jun 11, 2005 4:15 pm
by najma
haaey rayu ionsaan ki majbooriyaaN
paas reh kar bhi haiN kitnii dooriyaaN
paas/doorii/dooriyaaN
Posted: Sat Jun 11, 2005 8:25 pm
by najma
ham ne to chaahaatha, un se mud,da,aa kardeiN bayaaN
lafz kuch aaey zabaaN par, aur aakar reh gaey
najma
lafz/gaey
Posted: Sun Jun 12, 2005 2:43 pm
by najma
wo is ada se mila hayk janta hi naheeN
watan bhi ek, tamaddun bhi ek, rang bhi ek
watan/ek
"khoon"
Posted: Tue Jun 14, 2005 3:07 am
by Abdullah Nazir
khoon Tapkaa thaa mire deeda-e-tar se lekin
raah-e-ulfat meiN kabhii haar nah maani maiN ne.
raah / ne
Nazir.
Posted: Tue Jun 14, 2005 8:13 pm
by najma
fil-badee,
chaand to aaj bhi nikalta hay
haaN magar rahnii naheeN hotii
najma
haaN/hotii
Posted: Wed Jun 15, 2005 11:22 am
by najma
ik haqeeqat hay lamha-e-maujood
kal pe tum inhisaar mat karna
najma
Posted: Thu Jun 16, 2005 8:24 am
by najma
titee nazar k isharoN se khel saktaa hooN
jigar-furoz sharaaroN se khel sakta hooN
saGhar
Posted: Fri Jun 17, 2005 2:58 pm
by najma
jaate huey kisi ne kahaa thaa, ye yaad hay
:najma: mileiNgay phir kabhi, jo zindagii rahii
najma
najma/rahii
Posted: Fri Jun 17, 2005 9:12 pm
by najma
ham se aaya na gaya
un se bulaya na gaya
un/gaya
Posted: Fri Jun 17, 2005 9:16 pm
by Mahtab Qadr
ham se jaaya na gaya
un se bhagaaya na gaya