Page 25 of 43

Posted: Tue Jun 21, 2005 8:44 pm
by Mahtab Qadr
sabhi diye raheiN raushan khuda kare laikin
in aaNdhiOn se larhaai bhi yaar mat karna
Mahtab Qadr

Posted: Tue Jun 21, 2005 10:07 pm
by najma
chaar tinkay kya muyassar hogaey
aandhiyaaN apna muqaddar ho gaeeN
nafis ahjmad siddiqui

javaab

Posted: Wed Jun 22, 2005 2:13 am
by Abdullah Nazir



wada wafaa nah karnaa hougi sirisht lekin

tum jhooT boulte hou kis khoobsoorati se.



Nazir.


Posted: Wed Jun 22, 2005 11:03 am
by najma
maiN sach kahooN gii. magar phir bhi haar jaaooNgii
wo jhoot bolega aur la-jawab kardega
p. shakir

Posted: Thu Jun 23, 2005 12:02 am
by Mahtab Qadr
kitne razoN ka ameeN hai ye samandar dekhte
dil ki halat meri aNkhoN maiN utar kar dekhte


Mahtab Qadr (filbadeeh)

Posted: Thu Jun 23, 2005 12:17 am
by najma
har jalwa hay but-khana-e-hastii ka ujuubah
pat,thar ke haiN asnaam, to sheeshay ki qabaaeiN
njama

Posted: Thu Jun 23, 2005 12:13 pm
by najma
aise kab tak jiyogii tum najma!
jheel meiN pheNk pheNk kar kaNkar
najma

Posted: Thu Jun 23, 2005 10:03 pm
by Mahtab Qadr
na bahak jaaye tere zahn ki lahroN ka sukooN
besabab ja ke kabhi jheel mai kaNkar mat phaiNk

Mahtab Qadr (fb)

Posted: Thu Jun 23, 2005 10:09 pm
by najma
umr bhar lehroN se Takraatay rahay haiN ham-log
gar samundar meiN utar jatay, samundat hotay
najma

Posted: Thu Jun 23, 2005 11:05 pm
by Mahtab Qadr
jinko dawaa hai samandar pe amaldaaree ka
aye khuda unko bachaa mauj e balaa se taa zeest
Mahtab Qadr

Posted: Thu Jun 23, 2005 11:11 pm
by najma
ham sada-lauh kis se kaheN daastaan-e-Gham
har shakhs ne hi dii hay daGhaa, tere shehr meiN
najma

Posted: Thu Jun 23, 2005 11:35 pm
by Mahtab Qadr
hai jawaban arz ye misra kisraa ka aye nadeem
ham dua likhte rahe aur vo daGhaa ,parhta rahaa

(sirf dosra misra kisi ka hai mujhe shayer ka naam yaad nahi.:))

Posted: Fri Jun 24, 2005 12:39 am
by najma
jannat se nikale huey insan ke beTo!
dunya ko bhi dunya-e-kharabaat karo ho
najma

javaab

Posted: Fri Jun 24, 2005 1:43 am
by Abdullah Nazir



ik laghzishe aadam ne diyaa Hauslah warnah

manzoor nah houti kisi insaaN se muHabbat.



Nazir.


Posted: Fri Jun 24, 2005 1:46 am
by najma
mohabbat hi ka jazbah hay , jo khaliq se milata hay
momohabbat hi ke jazbe se bashar me,raaj paataa hay
rabia siddiqui :sham,a: