Page 26 of 44
pasandeedah
Posted: Tue Sep 05, 2006 12:54 am
by Abdullah Nazir
kahaa thaa tum ne keh her Harf per hei bousa-e-lab
jou baateN keeN heiN tou ab farZ kaa Hisaab karou"
Shayer: Meer Taqi :Meer:.
Nazir.
Posted: Tue Sep 05, 2006 3:16 pm
by ummassad
tera israar sir aankhon ph tujh ko bhool janey ki
main kooshis ker ky dekhounga mager waada nahi kertaa
Posted: Tue Sep 05, 2006 4:54 pm
by PK Swami
har ek shikastaa tamanna pe muskuraate haiN
vo kyaa kareN jo musalsal fareb khaate haiN ! -Raaz Muradabadee
PK Swami
Posted: Thu Sep 07, 2006 2:40 am
by ummassad
touheed ki amanat seenon main hey hamarey
aasan nahi mitana naam o nishan hamara
Posted: Thu Sep 07, 2006 2:46 am
by Daanish
waqfa-e-marg ab zaroori hai
umr tai karte thhak rahe haiN hum
--Meer
Posted: Fri Sep 08, 2006 5:48 am
by Mayank
nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle
-Ghaalib
Posted: Fri Sep 08, 2006 4:01 pm
by Daanish
'pasandeedah'
juuN sham'a sarapaa haiN ze bas maail-e-giryaa
jo baal hai, mishgaaN ki taraH nam hai hamaara
-Mus'Hafi
Posted: Fri Sep 08, 2006 6:08 pm
by zmufti
zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hai.n
jaane kyaa daur hai kyaa log hai.n kyaa kahate hai.n
Posted: Sat Sep 09, 2006 1:57 am
by Daanish
'pasandeedah'
DaaGh tum dil ko dost samjhay ho
dosti ka gumaan dushman par
Posted: Sat Sep 09, 2006 2:00 am
by Daanish
nazar aati haiN har su soorateiN hi soorateiN mujh ko
koi aainaKhaana kaarKhaana hai Khudaai ka
--Aatish
Posted: Sat Sep 09, 2006 5:31 pm
by PK Swami
chashm.e khooN.baar miree aapke talwoN se milee
varnaa aisaa bhee kaheeN rang.e hinaa hotaa hai !
PK Swami
Posted: Sat Sep 09, 2006 8:10 pm
by ummassad
nh leyna naam ay khasid faqat iitna hi kahdena
jinhain tum bhool beythey ho'wo akser yaad kertey hain
Posted: Sun Sep 10, 2006 3:30 am
by Daanish
'pasandeedah'
ghar meiN humsaaye na soye ek shab aaraam se
Husn us rashk-e-pari ka bas ke ishq_angez thha
--Mus'Hafi
pasandeedah
Posted: Sun Sep 10, 2006 4:24 am
by Abdullah Nazir
"karte heiN apne zakhm-e-jigar ko rafoo ham aap
kuch bhee khayaal-e-junbish-e-mizhgaaN nahiN rahaa".
Shaayer: :mumin:
Nazir.
Posted: Sun Sep 10, 2006 8:34 am
by Daanish
'pasandeedah'
tajalli kisi ki, woh jalwah kisi ka
kaiiN naar nikli, kahiiN noor niklaa
--DaaGh