Page 26 of 29
???
Posted: Sun Sep 10, 2006 11:09 pm
by Abdullah Nazir
kis ko hei khauf-e-kharzaar-e-alam
jab miraa ghamgusaar baaqi hei
Shaayer:Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Sep 11, 2006 2:33 am
by Daanish
'sawaaliyah'
isi talaash-o-tajassus meiN khho gaya huN maiN
agar nahiN huN, tau kyoN kar? jo huN tau kya huN maiN?
--Jigar
???
Posted: Mon Sep 11, 2006 3:00 am
by Abdullah Nazir
Heelah-joo thay tire paimaan-e-wafaa kyaa kyaa kuch
aur sitam touRe baSad naaz o adaa kyaa kyaa kuch
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Sep 11, 2006 3:05 am
by Daanish
'sawaaliyah'
maiN kya karuN balaa se jo tuu mehrbaaN hai ab
woh dil kahaaN hai ab woh tab'iiyat kahaaN hai ab?
--DaaGh
???
Posted: Mon Sep 11, 2006 4:22 am
by Abdullah Nazir
karam se aap ke nah kiyuN faZaay-e-sarkhushi mile
Hareem-enaaz meiN heiN jab ravaaN davaaN tajalliyaaN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Sep 11, 2006 11:41 am
by Daanish
'sawaaliyah'
haaN woh nahiN Khuda_parast, jaao woh bewafaa sahii
jis ko ho deen-o-dil azeez, uski gali meiN jaaye kyoN
--Ghalib
Posted: Mon Sep 11, 2006 5:33 pm
by PK Swami
paas.e aadaab.e muhabbat naheeN kahne detaa
tum samajhte ho k maiNe tumHe samjhaa hee naheeN ?
PK Swami
???
Posted: Mon Sep 11, 2006 5:57 pm
by Abdullah Nazir
Heraa quSoor kyaa hei ilzaam de nah mujhko
chehrah hei surkh teraa zulfaoN kee barhami se
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Sep 13, 2006 2:59 am
by Daanish
dekhna, qismat, ke aap apne pe rashk aa jaaye hai
maiN usay dekhuN, bhalaa kab mujh se dekhaa jaaye hai?
--Ghalib
???
Posted: Wed Sep 13, 2006 5:26 pm
by Abdullah Nazir
dekheN bhee tou kyaa manzar-e-SeHraa ke siwaa ham
jaayeN bhee kahaaN paauN meiN zanjeer paRi hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Sep 13, 2006 9:45 pm
by ummassad
ay jaan teri yaad ke benaam parindey
shakhoun ph merey dard key utraingey kisi din?
Posted: Thu Sep 14, 2006 3:58 am
by Daanish
'sawaaliyah'
arsh tak tau le gaya thha saath apne Husn ko
phir nahiN ma'aloom ab Khud ishq kis manzil meiN hai
--AsGhar
Posted: Fri Sep 15, 2006 2:57 am
by Daanish
'sawaaliyah'
nigaah-e-naaz, jisay aashnaa-e-raaz kare
woh apni Khoobi-e-qismat pe kyoN na naaz kare
--Hasrat Mohaani
Posted: Sat Sep 16, 2006 2:22 am
by Daanish
'sawaaliyah'
na kuchh fanaa ki Khabar hai, na kuchh baqaa ma'aloom
bas ek beKhabari hai, so woh bhi kya ma'aloom?
--AsGhar
???
Posted: Sat Sep 16, 2006 5:51 am
by Abdullah Nazir
koii sunaayegaa kyaa apnaa Haal-e-dil :Nazir:
aseer panja-e-ddaar o rasan meiN rahne tak.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.