Page 26 of 43
javaab
Posted: Fri Jun 24, 2005 3:35 am
by Abdullah Nazir
MuHabbat dil meiN baaqi hei javaani aankh se aujhal
nigaahaoN meiN ajal hei zindagaani aankh se aujhal.
Nazir.
Posted: Fri Jun 24, 2005 9:32 pm
by najma
jeete jee koocha-e-yaar se jaya na gaya
uski deewaar ka sie se mire saaya na gaya
saGhar
javaab
Posted: Fri Jul 01, 2005 2:18 am
by Abdullah Nazir
saaqiyaa Hasrat-e-tajdeed-e-mulaaqaat kahaaN
maiN kahaaN aur tirii bazm-e-kharaabaat kahaaN.
Nazir.
Posted: Fri Jul 01, 2005 3:26 am
by Hashmat Usmani
mumkin nahiiN k bazm-e-tarab phir sajaa sakuuN
ab ye bhii hai bahut k tumheN yaad aa sakuuN
Jagan Nath "Aazaad"
javaab
Posted: Sun Jul 03, 2005 6:48 pm
by Abdullah Nazir
zindagi ham ne guzaari hei un insaanaoN meiN
jou nah kaafir heiN nah shaamil hei musalmaanaoN meiN.
Nazir.
Posted: Tue Jul 05, 2005 3:06 am
by Hashmat Usmani
na ho jaao bad_naam tum, is liye
maiN ro ro ke daaman bhigotaa nahiiN
Zaheer Anwar
javaab
Posted: Sat Jul 09, 2005 4:17 am
by Abdullah Nazir
mujh se her raaz chupaalete hou apnaa kehkar
yehi andaaz-e-wafaa hei tou jafaa behtar hei.
Nazir.
Posted: Sat Jul 09, 2005 8:56 am
by Amoodi
Jab kisi jism sei hoker koyi barchi guzri
Muj ko mehsoos huwa khoon baha hei mera
Posted: Sat Jul 09, 2005 8:59 am
by Amoodi
Jab kisi jism sei hoker koyi barchi guzri
Muj ko mehsoos huwa khoon baha hei mera
Posted: Sun Jul 10, 2005 6:06 pm
by PK Swami
kis ghazab meiN hai, kis aafaT meiN hai, kis mushkil meiN hai
dam meraa khanjar meiN hai khanjar kaf.e qaatil meiN hai
PK Swami
Posted: Mon Jul 11, 2005 10:06 pm
by RAUSHNEE
koi nam-o-nishan pochay tu ay qasid bata dena
takhalus daagh hai aur ashiqon k dil mein rehta hon
Posted: Tue Jul 12, 2005 2:42 am
by Hashmat Usmani
lete hii dil jo, 'aashiq-e-dil_soz kaa, chale
tum aag lene aaye the, kia aaye, kia chale
Ustaad Ibraaheem Zauq
Posted: Tue Jul 12, 2005 2:38 pm
by PK Swami
asar ai aaH.e sozaaN, kuchh na kuchh apnaa dikha denaa
na aayeN vo to ek din, aaG hee ghar meiN lagaa denaa
PK Swami
Posted: Tue Jul 12, 2005 3:59 pm
by RAUSHNEE
ishq per zoor nahi hai yeh woh atish Ghalib
jo lagaye na lagay aur bujhaye na bujhay
javaab
Posted: Tue Jul 12, 2005 7:13 pm
by Abdullah Nazir
aatish-e-ishq meiN jal jaaye nah hastii meri
aankh se ashk bahaataa hooN bujhaane ke liye.
Nazir.