Page 27 of 44

pasandeedah

Posted: Sun Sep 10, 2006 11:05 pm
by Abdullah Nazir



"yeh gul heiN daagh jigar ke inheN sanbhal kar cheR

yeh baagh-e-seena-e-Aashiq hei gulsitaan nahiN."


Shaayer: :Mumin:


Nazir.


Posted: Mon Sep 11, 2006 3:01 am
by Daanish
'pasandeedah'



na hu'i gar mire marne se tasalli na hu'i
imtiHaaN aur bhi baaqi ho, tau yeh bhi na sahii
--Ghalib

???

Posted: Mon Sep 11, 2006 3:07 am
by Abdullah Nazir



meraa kyaa hei maiN rahooN yaa nah rahooN dunyaa meiN

apne hee naqsh-e-kaf-e-paa ko miTaate kiyuN hou


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Sep 11, 2006 6:19 am
by zmufti
teri haibat hai jahangir magar
tujh se to maiN, bakhuda behtar hoN
us shahanshah se, jo nafrat baiche
maiN muhabbat ka gada behtar hoN

Posted: Mon Sep 11, 2006 11:35 am
by Daanish
'pasandeedah'

bazm-e-saaqi meiN zara dekh tau chal kar zaahid
kya bahaareN haiN, chhalakte hu'e paimaanoN ki
--Jigar

Posted: Fri Sep 15, 2006 3:00 am
by Daanish
'pasandeedah'

diloN ko fikr-e-do a'alam se kar diya aazaad
tire junooN ka Khudaa silsilaa daraaz kare
--Hasrat

Posted: Fri Sep 15, 2006 2:26 pm
by zmufti
chaa.Nd se phuul se yaa merii zubaa.N se suniye
har taraf aap kaa qisaa jahaa.N se suniye

Posted: Sat Sep 16, 2006 2:16 am
by Daanish


ai Mus'Hafi murGhaan-e-chaman reh gaye Khaamosh
jab baaGh meiN jaa zam zama pardaaz hu'e tum

Posted: Sat Sep 16, 2006 5:14 pm
by ummassad
hum tuu hzieyn yeh samjhey they daamun jo bhigodey paani hey.
aansoo tu waahi aik qatra hey palkoun ph jo jhelkey beh na sakey .

Posted: Sun Sep 17, 2006 7:21 am
by zmufti
fikr hii Thaharii to dil ko fikr-e-Khubaa.N kyo.n na ho
Khaak hona ahai to Khaak-e-kuu-e-jaanaa.N kyo.n na ho

Posted: Sun Sep 17, 2006 12:38 pm
by Mayank
dil kii baat kahii nahii.n jaatii, chup ke rahanaa Thaanaa hai
haal agar hai aisaa hii to jii se jaanaa jaanaa hai
-Meer

Posted: Mon Sep 18, 2006 2:40 am
by Daanish
'pasandeedah'

thhi masleHat ke ruk kar hijraaN meiN jaan dijiye
dil khol kar na Gham meiN maiN ek baar royaa
--Meer

pasandeedah

Posted: Tue Sep 19, 2006 12:54 am
by Abdullah Nazir
b]


"tu nageeN touR nah iskaa keh baRi mushkil se

ism ko maiN ne tire kandah kiyaa hei is meiN".


Shaayer: zauq.



Nazir.

[/b]

Pasandeedah

Posted: Wed Sep 20, 2006 2:49 am
by Abdullah Nazir



"mauj kyaa, girdab kaisaa, kiuN kisi kaa naam looN

khud safeenah hee miraa daAwat hei ToofaaN ke liye".


Shaayer: Fani Baduni



Nazir.


Posted: Thu Sep 21, 2006 4:17 am
by Daanish
'pasandeedah'


yak qadam veHshat se dars-e-daftar-e-imkaaN khhulaa
jaadah, ajzaa-e-do a'alam dasht ka sheerazah thha
--Ghalib